Top 15 Best Android Blogging Apps Of 2020 In Hindi

Android Smartphone Se Blogging Karne Walo Ke Liye Top 15 Most Important Apps, Jinhe Aapko Jaroor Istemaal Karna Chahiye
Best Android Blogging Apps Of 2020

Best Android Blogging Apps 2020 – Jyadatar blogging karne ke liye pc ya laptop ko hi use me liya jata hai. Mobile se blogging karna mushkil hota hai or hum saare jaroori kaam mobile se nhi kar sakte. Lekin phir bhi bahut se aise bloggers hote hain, jinke paas pc ya laptop nhi hota or wo mobile se hi blogging karna chahte hain.

Ya kabhi kabhi aisa hota hai ki hamare paas pc ya laptop paas me nhi hota hai or aise me hame blogging ke liye mobile ka sahara lena padta hai.Agar aap bhi mobile phone se blogging karna chahte hain, to aisa karna mushkil nhi hota. Aap blogging ke sabhi kaam apne smartphone/mobile se bhi kar sakte ho, lekin iske liye aapke smartphone me kuch important android blogging apps ka hona jaruri hai, jinki madad se aap mobile se blogging aasani se kar sakte hain.. :- Aaj iss post me aap mobile phone se blogging karne ke liye jaroori Top 15 best android blogging apps ke baare me jaaenge, jo mobile se blogging karne ke liye aapke bahut jyada kaam aaegi.

Mobile Se Blogging Karne Ke Liye Jaroori Top 15 Android Blogging Apps 2020 :-

Best Android Blogging Apps Of 2020  

Blogger :-

Blogger platform se blogging karne wale bloggers ke liye Blogger ek jaruri app kahi ja sakti hai. Jo bloggers blogspot platform se blogging karte hain or smartphone ya mobile se blogging karte hain, unke liye Blogger ek bahut acchi or kaam ki app hai. Blogspot blog par new post likhne, Posts ko update or edit karne ke liye yeh app sabse best rahegi. Blogger mobile app users ko features to bahut kam deti hai lekin phir bhi post likhne or posts ko manage karne ke liye yeh app bahut jyada kaam ki hai.. Isliye jo blogspot platform user bloggers mobile phone se blogging karte hain, unke liye yeh bahut jyada kaam ki app sabit ho sakti hai…

Blogger.apk

WordPress :-

WordPress platform user bloggers ke liye WordPress mobile app bahut jyada jaruri hai.. yeh app aapko bahut acche features available deti hai.. WordPress ki yeh app aapko kisi acche browser se blogging karne jaisa experience deti hai.. New post likhne, Blog ko manage karne, visitors or pages views dekhne ete. work aap iss app se bahut aashani se kar sakte hain. Isliye iss app ke features or iski importance ko dekhte hue yeh app mobile phone se blogging karne wale WordPress bloggers ke liye bahut jyada useful hai..
WordPress.apk

Tumblr :-

Tumblr blogging platform user bloggers ke liye yeh aap jaruri hai.. aap iss app se apne blog ko mobile se acchi tarha se manage kar sakte hain. Waise yeh app WordPress app ki tarha jyada features to nhi deti, lekin phir bhi Blogger app ki tarha yeh app bhi jaruri or helpful hai. Agar aapke paas tumblr ka blog hai or aap mobile se blogging karte hain, to yeh app aapko apne mobile me jarur rakhni chaiye.. Aapke tumblr blog ko manage karne ke liye yeh aap aapke liye best rahegi..
Tumblr.apk

Evernote :-

Agar aap apne blog ke liye mobile se offline post likhna chahte hain, to evernote blog post writing ke liye ek best app hai.. Yeh app aapko aapke blog ke liye post likhne ke liye acche features available karwaegi.. Yaha par aap apne mobile se apne blog ki post acchi tarha se likh sakte hain or phir jab chahe tab uss post ko apne blog par publish kar sakte hain.. Evernote se aap kisi bhi blogging platform blog ke liye post likh sakte hain. Isliye agar aap mobile phone se blogging karte hain to evernote app aapke liye bahut jyada useful hai..

Evernote app

Microsoft Word :-

Evernote ke alawa New blog post likhne ke liye Microsoft Word ek sabse best mobile apps me se ek hai. Me khud mobile phone se blog post likhne ke liye Microsoft word ka hi use karta hu. Yeh sabse best app hai. Yeh app WordPress Platform user bloggers ke liye sabse best app hai..

Aap is app me kisi bhi word ko Bold, Italic ya fir Underline kar ke highlight kar sakte hai. Sath hi text color, font, size, numbering ya text me link add karne ka kaam bhi yaha aasani se kar sakte hain. Is app ke jariye aap post ko docs. ya fir pdf format me save kar sakte hai. Aap isi app se apni files ko One Drive me online save bhi kar skte hai taki aap kabhi bhi kahi bhi apni files ko access kar sake.

Microsoft word ko aap Google play store se aasani se free me download kar sakte hain. Isliye agar aap moblie phone se blogging kar rahe hain or iss app ki importance ko samjhe to yeh app aapke WordPress blog ke liye mobile phone se post likhne ke liye sabse best app hai..

Microsoft Word app

Google Analytics :-

Aapke blog ke daily visitors, page views, Bounce Rate & other status cheque karne ke liye google analytics account bahut jyada kaam me aata hai. Sabhi bloggers iski importance ke baare me acchi tarha se jaante hain.

Agar aap mobile phone se blogging karte hain, to google analytics app aapke liye jaruri hai. Iss app se aap apne blog ki saari details cheque kar sakte hain. Agar browser me jaakar apne blog ka status cheque karne me aapko dikkat aati hai, to aap google analytics app ko use me le sakte hain yeh sabhi bloggers ke liye jaruri bhi hai or iska app use karne me ekdum easy bhi hai..

Google analytics

gAnalytics :-

gAnalytics app bhi Google analytics ki tarha hi hai. Yeh app bhi aapke blog ka traffic status cheque karne me aapki acchi madad karegi..

Isliye agar aap google analytics app ko use nhi kar rahe, to aap uski jagah isko use me le sakte hain. Jaha tak mera maanna hai aap google analytics app ko hi use me lein. Iss se jyada better results aapko google analytics app degi..

gAnalytics app

Adsense :-

Google adsense aapke blog ke liye earning ke liye sabse important source hota hai. Agar aapke blog ke liye aapka adsense account hai to aapko apne mobile me adsense ki app bhi jarur rakhni chaiye.

Aapke blog ki daily earning, clicks, CPC etc.ko cheque karne ke liye adsense app aapki bahut jyada madad karegi. Isliye agar aap mobile phone se blogging karte hain, to adsense app aapko apne mobile me jaroor installed rakhni chaiye, or agar aap blogging se related saare pc or laptop se karte hain, tab bhi aapko iss app ko jarur rakhna chaiye..

Google adsense

Google Drive :-

Google drive kisi bhi tarha ka backup lene ke liye kaam me liye jaata hai. Isme aap images, videos, documents etc ka backup save rakh sakte hain..

Agar aap blogger hain or smartphone se hi blogging karte hain to aapke smartphone me iss app ka hona jaruri hai.. aap iski madad se apni sabhi blog posts, images, videos etc ka backup save rakh sakte ho. Backup aapko kabhi bhi kaam aa sakta hai or blog me iski kabhi jarurt ho sakti hai…

Google Drive

Google Indic Keyboard :-

Blog post writing ke liye google Indic Writer aapki bahut jyada madad karega. Jo blogger hindi me blogging karte hain or apne blog ki posts hindi me likhte hain, unke liye yeh app bahu jyada helpful ho sakti hai.

Yeh aap aapko hindi me likhne ke liye sabse easy options available karwaegi or agar aap english ya Hinglish me likhte hain, to word correction me aapki madad karegi. Agar aap Iss app se post writing karte hain to aapki post me words me galti hone ke chance bahut kam ho jaege.. Isliye mobile phone se blogging karne wale bloggers iss app ko apne mobile me jarur install rakhe..

Google Indic Keyboard

Swiftkey Keyboard :-

Swiftkey keyboard bhi ek acchi mobile app hai. Yeh app aapko post writing ke acche features available karwaegi jisse aapko likhne me aashani hogi. Iss app se aapke phone ka keyboard ekdum easy or stylish ho jaata hai.

Swiftkey keyboard aapko alag alag keyboard themse, word prediction, 800 se jyada emoji (emotions) smarter auto corrector, 60 languages support or 30 colourful layout jaise features available karwati hai, jinse aapki writing skills ekdum easy ho jaegi..

Swiftkey keyboard

Writer Plus :-

Writer plus bhi ek blog post writing tool ya app hai, jiski madad se aap apne blog ke liye offline posts likh sakte ho. Yeh app bhi writing ke liye acche options deti hai..

Waise iss app se jyada better 2 apps Evernote or Microsoft Word ke baare me aapko bta chuka hu, lekin wo dino hi apps size me bahut jyada badi hain. Agar aap koi lite size ki app ka search kar rahe hain, to yeh app best hai.. yeh app site me bhi small hai or yaha par aap apni post ko apne mobile se offline ekdum acchi tarha se likh sakte ho..

Writer plus app

PictureArt :-

Blog posts me photos ko add karna bhi bahut jyada jaruri hota hai, or photos add karne se pehle unko apni pasand se blog ke liye edit karna padta hai.. blog ke liye photo editing ka kaam pc or laptop se to aashani se kar sakte ho, lekin mobile se thoda hard hota hai..

PictureArt ek photo editing tool ya app hai, jisse aap apne blog ke liye mobile phone se photos ko apni pasand se edit kar sakte ho. Iss se aap photos ko crop kar sakte ho, effect daal sakte ho, text add kar sakte ho, resize kar sakte ho.. Isliye mobile phone se blogging karne walon ke liye yeh ek jaroori app kahi ja sakti hai..

PicsArt app

Buffer App :-

Buffer app bhi smartphone se blogging karne wale bloggers ke liye jaroori apps me se ek hai. Buffer app aapke blog ki posts ko social media par share karne me or aapke blog ko promote karne me aapki madad karegi..

Apne blog ki new posts ka promotion karna to jaruri hota hai, jiske baare me to sabhi blogger acchi tarha jaante hi hain, lekin posts ko ek ek karke sabhi social platforms par share karna ek hard kaam hai or isme time bhi lagta hai.

Buffer app ki madad se aap apne blog ki post ko ek saath kai social platforms, jaise :- facebook, twitter, instagram, LinkedIn etc.par share kar sakte ho. Iss se aapka kaam easy hoga or time bhi bachega..

Buffer App

Facebook Page Manager :-

Sabhi bloggers apne blog ke liye facebook page jaroor rakhte hain.. Blog ke liye facebook page hona jaruri bhi hota hai. Agar aapke paas bhi apna facebook page hai or aapke blog ke saath linked hai to aapko apne facebook page ko manage karne ki jarurt hai or facebook page ko manage karne ke liye Facebook Pages Manager app ka hona bhi jaruri hai. Iss app se aap apne facebook page ko aashani se manage kar sakte ho…

Facebook page manager

Final Words :-

Yeh apps aapke smartphone ke liye top or jaruri blogging apps hain. Agar aap inn posts ko apne phone me installed rakhte hain, to mobile phone se blogging karna aapke liye ekdum easy ho jaega.. Inn apps ki madad se aap apne blog ko aashani se manage kar sakte ho.. Also Read – 11 Best Android Apps For Youtube 2020 In Hindi

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan