Top 5 Best Blog Post Writing Tools (Android Apps) Ki Jaankari Hindi Me – Blogging ke liye post writing bahut jyada important hoti hai. Kisi bhi blog ke liye uski posts hi sab kuch hoti hain. Blog par jitni jyada or acchi posts hongi, blog utna hi jyada famous hoga.
Jaisa ki aap sabhi jaante hain, ki bloggers par direct post likhna thoda hard kaam hai, or isko hame online hi likhna padta hai. Kai baar hum online post likhte hue pareshan ho jaate hain or blog posts likhne ke liye koi direct tool ya app search karte hain, jaha par hum apni poori post ko offline likh kar save kar sake or baad me jab post blog par publish karni ho to usko waha se copy karke or set karke blog par publish kar sake.
Lekin hum Iss kaam ke liye koi acchi si trusted tools ya apps select nhi kar paate jo iss kaam me hamari madad kar sake.
To agar aap bhi aise kaam ke liye koi acchi si tool search kar rahe hain, to yeh post aapke liye kaam ki hai. Iss post me main aaj aapko blogger post writing ke liye kuch best tools/apps ke baare me btaunga jo new posts likhne me aapki madad karegi or jinn par aap apni poori post ko ek saath likh kar notes bna kar apne Mobile me save kar sakte hain or jarurt hone par select karke apne blog par publish kar sakte hain.
To Chaliye Jaante hain kuch khash blogging post writing tools & apps ke baare me, jo bloggers ko blog post likhne ke liye jaroor try karni chaiye.
Top 5 Blog Post Writing Tools And Apps (Tools) 2020
1) Evernote :-
Evernote aapke liye ek sabse best blog post or basic writing tool/app hai. Android Users ke liye Evernote play store par aasaani se available hai. Ever note istemal karne me ekdum free hai, lekin yeh online work karti hai. Isko try karne se pehle aapko isme apna new account bnana padega or login hona padega.
Evernote app bloggers ke liye new post writing me kaafi useful hai. Yaha par aapko kisi bhi tarha ki post likhne or save karne ke bahut jyada options milege or aapko kai tarha ke writing styles bhi milege, jaise :- Italic, Bold etc.
Evernote me aap apne notes me image use kar sakte hain or links add kar sakte hain. Iske alawa bhi yeh aapko bahut jyada writing options available karwayegi.
2) Microsoft Word :-
New blog post likhne ke liye Microsoft Word ek sabse best tools me se ek hai. Me khud mobile phone se blog post likhne ke liye Microsoft word ka hi use karta hu. Yeh sabse best app hai.
Aap is app me kisi bhi word ko Bold, Italic ya fir Underline kar ke highlight kar sakte hai. Sath hi text color, font, size, numbering ya text me link add karne ka kaam bhi yaha aasani se kar sakte hain.
Is app ke jariye aap .doc ya fir .pdf format me save kar sakte hai. Aap isi app se apni files ko One Drive me online save bhi kar skte hai taki aap kabhi bhi kahi bhi apni files ko access kar sake. Microsoft word ko aap Google play store se aasani se free me download kar sakte hain.
3) Google Docs :-
Iss list me agla number google docs ka aata hai. Google Docs bhi aapke liye ek perfect blog post writing tool/app hai.
Google Docs bhi Microsoft Word ki tarha hi hai. Docs par bhi aapko apna content ya post likhne ke liye bahut acche features milte hain. Yaha par aap words ko apne tarha se likh sakte ho. Yeh writing me blog par direct post likhne jaisa hi anubhav degi.
Google docs online or offline dono tarha se kaam karti hai, isliye aap offline mode me bhi apni poori post aasani se likh sakte hain or apni post ko ek tarha se document ki tarha se save kar sakte ho. Phir jab chahe tab aap yaha se apni post ko copy karke apne blog par daal sakte ho.
4) Writer Plus :-
Blogger post writing tools ki list me agla number Writer Plus ka aata hai. Writer Plus ak bahut hi shandaar tool hai offline post likhne or post ko ek notes ki tarha likh kar save karne ke liye.
Writer Plus par aap apne blog ke liye koi bhi post likh kar save kar sakte hain or baad me usko copy karke apne blog par post kar sakte hain. Yeha par post likhne ekdum easy hai.
Writer Plus aapko post writing ke liye kuch khash features available karwata hai, jinki madad se aap apni post ya notes ko attractive bna sakte hain. To Writer Plus aapke liye ek best offline blogger post writing tool/app hai, isse aapko jaroor try karna chaiye, aapko post likhne ka ek naya anubhav milega.
Zenpen :-
Blogger post writing ke liye Zenpen bhi ek acchi tool hai. Zenpen ek online tool hai jo aapko post writing me focus karne me kaafi madad karegi.
Zenpen post writing ke liye har tarha ke format ko support kar sakti hai. Aap apni post ke words ko yaha par highlight kar sakte hain. Iske alawa aapko isme apne words ko Bold, Italic etc.karne ke options milte hain or aap isme apne post ke bich me koi bhi url bhi set kar sakte hain, Quote add kar sakte hain.
Isliye kaha jaye to Zenpen bhi aapke liye ek best post writing tool saabit ho sakti hai. Aap isko download karke try kar sakte hain, yeh ekdum free hai.
So…
Ab choice aapki hai ki aap apne blog ke liye konsi post writing tool select karte hain. Jaha tak mera sawal hai, me aapko Microsoft Word ko use karne ki salah dunga, kyuki iska mobile or pc/Laptop version lagbhag ek jaisa hi hai. Aap yaha par account bna kar jab chahe tab isko pc, laptop or mobile me use kar sakte ho. Aisa karne se aapke saare documents or posts yaha par save rahega. Me khud bhi mobile or laptop me Microsoft word or google docs ko hi use karta hu.
:-. Iss post se related agar aapka koi question ho, ya aapka koi bhi sujhav ho, to mujhe comment box me jarur btaye… Post ko padhne or GeekyRohit.com website ko visit karne ke liye aapka dhanyawaad… Also Read – Advantages Of Blogging | Blogging करने के 7 फायदे
धन्यवाद, इस महत्वपूर्ण एवं उपयोगी जानकारी के लिए|
Thanks.. Stay connected with our blog for more help.