Blogger Par Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare – Humne hamari previous post me blog ke baar me detail se jana tha,ki ” Free Blog Kaise Banaye or Blogging Ki Shuruaat Kaise Kare..” Padhne ke liye ” Yaha Click Kare “
Hame blog ko banane me to koi khash problem nhi hoti hai, lekin problem blog bnane ke baad hoti hai.. Khashkar unn logon ke liye, jo blog or blogging ke baar me jyada kuch nahi jante hain, or apne blog ko start kar rahe hain.. Aise me new bloggers ko problem hoti hi hai or samajh me nahi aata hai, ki blog bnane ke baad kya kare…
Isliye aaj ki meri yeh post unn new bloggers ke liye hai, jo blog ke bare me jyada kuch nahi jante hain. Iss post me main aapko yahi btauga, ki Ek blogger ko blog bnane ke baad kya kya karna jaruri hota hai… To Chaliye, Detail Se Jante Hain Ki Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare
Blogger Par Free Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare Or Blog Ko Acche Se Setup Kaise Kare
1) Post Publish Kare
Sabse pehle blog bnane ke baad Post publish karne par dhyaan dein.. Jis subject par aapne blog bnaya hai, ya Jis subject par aapka focus jyada hai, uss subject par kuch importent, Logon ko liye useful 10- 15 ache posts Publish kare.
:- Posts ko achi tarha se type kare or ekdum se set karke publish kare, taki readers ko aapka post pasand aaye..
2) Custom Templet Lagaye
Blog bnane ke baad next subse importent hota hai blog ka templet, isliye iss par dhyaan dein, or apna Custom templet upload kare…
Waise to Blogger users ko kuch templets provide karwata hai, lekin yeh templets old type ki hain or jyada designd bhi kam hain, or feature bhi kam deti hain..
isliye blog ke liye apni pasand ka koi acha sa templet upload kare, taki aapka blog Dekhne me acha lage or readers ko pasand aaye.. Aisi bahut si websites hain, jo bloggers ko free me ache templets available karwati hain..
Note :- Blogger sirf XML formet ki templets hi support karta hai, isliye XML format ki hi templet upload kare…
Templet ke liye yeh batein jarur dhyaan me rakhe :-
- Full Responsive ho
- Templet Mobile Friendly Ho
- SEO Ready Ho
- Ads Ready Ho
- Extra Features Se Less Ho..
3) Custom Domain Name Lagaye
Waise to free blog ke liye domain name lene ki jaurat nahi hoti, kyuki Blogger ek free domain name ‘Blogspot.com‘ deta hai, isliye yeh itna jyada jaruri nahi hai..
Lekin apne blog ko ek website ka look dene, Visitors ko aakrshit karne or blog ko famous bnane ke liye Custom Domain lagana acha hota hai.. Custom domain name ke aapke blog ke liye bahut fayde karta hai..
Isliye , kisi bhi achi domain name provider website, jaise- godaddy.com se apna domain name lein, or blog par lagaye…
Read – ब्लॉगर पर Custom Domain Name कैसे सेट करें (Godaddy)
4) Blog Ko Design Kare
Agla sabse jyada importent kaam hota hai apne blog ko design karna.. Blog templet ko apni pasand se design kar aap apne blog ko acha look de sakte hain, lekin iske liye aap achi-khasi coding aani chaiye, kyuki blog ki templet me codeing ke bina aap isko design nahi kar sakte.. HTML Codes ki madad se aap templet ke features ko apni pasand se set kar sakte ho..
Isliye aap apni website ko acha look dene ke liye isko acha sa design kare, taki visitor ko aapka blog acha lage.. Lekin iske liye aap pehle blog ki coding ko ache se samjhe or phir design kare..
5) Custom Robot.txt add Kare
Blog ke liye custom robot.txt bna kar bhi set kare. Yeh jaruri hota hai, kyuki Robot.txt add karne se yeh google search engine ko btata hai ki blog/website se search engine me kya kya add karna hai.. iss se aapke blog ki post search me select hokar aati hai, or aapko google se acha traffic mil sakta hai. Yeh SEO ke liye bhi jaruri hota hai..
6) Search Console Me Add Kare
Yeh ek bahut hi importent kaam hota hai blog or blogger ke liye, kyuki website ko search console me add karne se hi wo Google Search me aati hai.. or agar blog/website google search me na mile to kis kaam ki.. Isliye yeh bahut hi jyada importent hota hai..
Wesite ko alag alag search engine, jaise- www.google.com , bing.com, www..yahoo.com etc.me add kare.. Inn sabhi ke webmaster tools ko open karke inme apni wesite ko add kare..
7) Header Ko Set Kare
Blog ke liye uska header sabse jyada importent mana jata hai, kyuki visitors ko sabse pehle aapke blog ka header hi dikhta hai..
Isliye blog ke header ko ache se set kare.. Header me apne blog ke name ka ek Picture set kare, taki blog title acha lage.. Iske alawa header me aap apne blog ki Category, About, Sitemap etc.ko bhi add kar sakte hain..
8) Search Box Lagaye
Blog me ek search box2 bhi add karna chaiye, taki users ko apne pasand ki post search karne me help mil sakte.. Blog ka search box blog ke header ya footer me lagaye..
Search box lagane ke liye aapko Layout me jana hoga..
9) Jaruri Widgets Ko Add Kare
Blog me jaruri widgets, jaise Comment box, Category, Populer Posts, Archive, about auther etc.bhi add karni chaiye.. Iss se visitors ko help milegi, or aapka blog ka design bhi acha banega..
10) Social Media Widgets Ko Add Kare
Apne blog or apne lisy followers badhane ke liye social media widgets, jaise- Faceboo, Twitter, Youtube etc.ko add karna chaiye.. Yeh bhi aapke blog ke liye importent hota hai..
Waise jyadatar Custom Templets me yeh option pehle se hi hota hai..
11) Extra Features/Widgets Ko Remove Kare
Blog me extra features, like- Powerd by ko remove karna chaiye.. agar aapne custom templet use kiya hai, to blog ke footer me Design by, Created by jaise name bhi milege.. Inko remove karke apni website ka name daalna chaiye.. Iss se aapki website achi lagegi..
12) Adsence
Agar aap apne blog se paise kamana chahte hain, to Adsense account ko approved karwane par dhyaan dein..
Waise to india me Adsense account normaly 6 month baad approved hota hai, lekin blog me ache articles, ache design, custom domain name, pages ki wajah se yeh pehle bhi approved ho sakta hai.. isliye iss topic par bhi dhyaan dein.. Koi bhi aisi galti na kare jis se aapka Adsense account approved na ho paye…
Other Importent Tips
- Website ke header me Fevicon ka option hota hai, isme apni website ke liye acha sa fevicon lagaye, jis se website ko acha look mile..
- Website me About me, Sitemap, Privacy Policy jaise jaruri pages bhi banaye..
- Apni website ki populerity ke liye isko other websites, jaise- google, facebook etc se linked bhi kare..
Special Note :- Blog/Website ko kisi bhi type se Design karne ke liye coding sikhni bahut jaruri hai, warna aap templet or blog ko apni marzi se design nahi kar paoge..
Final Words –
Bas inn sab baton ko dhyaan me rakh kar aap apne blog ko ek full complet blog bna sakte hoPost se related agar aapko koi quetion ho to aap hume comment box me apna quetion kar sakte ho.. iske alawa yeh post aapko kaisi lagi hame jarur btae or apne friends ke sath share kare…
thanks broo