Blog SEO Search Engine Optimization Kya Hai or Blog Me SEO Ka Importance

SeoBlog SEO Search Engine Optimization Kya Hai SEO Ka Importance :- Blog aur blogging kya hai ye aaj-kal har koi janta hai,aur bahut se naye blogger dino din blogging ko apna career bana rahe hain, lekin blog banae ke bad blog famous banane aur google search me top par blog ko lane ke liye SEO -(Search Engine Optimization) Ki bahut importance hai.

Aaz iss post mai aap sabhi ko bataunga ki ye SEO kya hota hai, blog me SEO ka kitna mahatav hai, SEO kitne parkar ka hota hai aur SEO ko blog ke liye kaise set kare..

Blog SEO (Search Engine Optimization) Kya Hai SEO Ka Importance

SEO (Search Engine Optimization)

SEO Kya Hai :-

SEO ek term hai jiska kaam hota h ki apke blog ki posts aur apka blog google ke search me kaise ata hai aur kitna search me ata hai, ye sab kuch apke blog ke SEO par hi depend karta hai.

Matlab ki SEO hi wah chiz hai jo apke blog ko google search me jyada se jyada upper lata h aur jab bhi koi visitors kisi chiz ko search karta h aur wo chiz apke blog me h to wah kuch keyword se match karke apke blog par us visitors ko lata hai.

For example : jaise kisi visitor ne search kiya ki “top mobile in india” to ab google apne search engine me us chiz se related keyword search karta h aur jis bhi website par jo keyword sabse phle match hota h waha us visitors ko redirect kar deta h aur wah jankari uss visitor ko mil jati h.

To aap samajh gaye honge ki SEO kya hai aur SEO ka kitna importance hota hai blog me.

:- To ab ye samjhne ke bad samjhte hain ki SEO kaam kaise karta hai aur SEO ke liye kya kya terms use hoti hain, jisse blog top search me aata hai aur related search me aage rahta hai. Iss parkar apke samjh me aa gya hoga ki keywords hi seo me sabkuch hota hai, jiske dwara apke blog ki rating fix hoti hai.

SEO keyword kya hai :-

Post likhte samay aap jis post ko likh rahe hain us post se related kuch word hote hain jo aapki post ko define karte hain aur apke blog ko search me late hain.

Keywords 2 parkar ke hote hain :-

1. Short Tail Keywords :-
short tails keyword short hote hain, ya wo chhote keywords hote hain aur apki post ko link karte hain.
Example :-blogging,top mobile etc
Matlab short tail keywords jo ki chhoti punch wale hote hain aur jo apko apne post me unko jarur dalna chahiye.
2. Long Tail Keywords :-
long tail keywords kuch lambe keyword aur apki post se ekdam related hote hain, jaise aapne post mobile par likhi.
Example:- top 10 mobile in india under 5000₹. To ye keywords long tail keywords h jiska upyog apko apni post me karna chahiye.
Long tail keywords jyada important hote hain aur ye hi sabse jyada apki post ko search me late hain.
Iss tarha aap samajh gaye honge ki keywords kya hai aur unka post me SEO ke liye kitna importance hota hai.

To chaliye ab sikhte h ki blog post me un keywords ko kaise upyog me lein :-

 

1 :- Keywords Ka Placement :-

keyword word placement hi sabse important hota hai ki kaha ap in keyword ka use kar rahe hain.

Keywords ka use blog me achhe SEO ke liye –

  • Post urls
  • Heading
  • Title aur subtitle me karna chahiye.

2 :- Keywords Kitne Rakhe :-

 

Keywords ko apki post ke hisab se 2%-4% se jyada use nahi karna chahiye. Matlab ki post ke words ke hisab se hi use karna chahiye. agar aap jyada use karoge to google unko ignore kar skta hai aur wah samjhega ki keywords stuffing ho rahi hai.

3 :- Meta Title and Meta Description :-

 

Keywords ka upyog SEO ke liye blog ke meta title aur meta description me bhi karna chahiye taki apka blog un keywords ke dwara search me top me rahe .

4 :- Sahi Keywords Ka Upyog :-

 

SEO ke liye sahi keywords ka hi upyog karna chahiye agar koi aise hi keywords use kar rah jinka post se koi matlab nahi to google apke blog ko ignore kar skta hai aur aap search se bahar ho skte hai isliye hamesh sahi aur related keyword ka hi upyog kare.

Example :- agar apki post tech se related hai to keywords bhi us post ke hisab se use kare.

To ab aap samjh gye honge, ki kaise keywords ka use karna hai ek top SEO ke liye.

 

Types of SEO :- 2 SEO types :-

 

  • on page SEO
  • off page SEO

1 – On Page SEO :-

On page SEO ka matlab hota hai ki aap apne blog me post ,meta description ,title me jo keyword use Karte hain, unka sahi se upyog karna hi on page SEO hota.

Types of On Page SEO :-

 

  • 1. Meta Tag :-

meta tags ke liye jo SEO hota h wah on page SEO hota h ,matlab ki aap apne blog ke meta tags me ,title aur description me jo seo karte h wah on page SEO hota hai.

 

  • 2 :- Long tail keywords :-

aap apni post aur blog me jo long keywords use karte h wah bhi on page SEO hi hota to long keywords n ka sahi se upyog kare.

  • 3 :- Content quality :-

best on page SEO ke liye post quality bahut hi important hota isliye hamesh top quality aur behtrin post likhni chahiye taki apki post aur apka blog par jyda se jyada visitor aye aur apka SEO bhi top rahe.

  • 4 :- Sitemap aur robotics.txt aur search console :-

blog ke apko sabse pahle apne blog ke on page SEO sudharne ke liye blog ka sitemap search console me submit kare ,aur robotics.txt ko bhi set kar le aur apne blog ko google search console me jarur submit kare tabhi apko blog google search me ayega.

  • 5 :- Remove invalid pages aur urls :-

kai bar ye hota h ki hamare blog ki kai post ko ham apne blog se delete kar dete ya remove kar dete h lekin search me unka link rahta h jo ki search krne par bar bar search error 404 error dikha deta h jo ki SEO ke bahut kharab hota hai.

To inse bachne ke liye search engine se un link ko hata de ya unka URL jarur change kar lein..

 

Off page SEO :-

 

Off page se ka matlab hota h ki apke blog ka on page SEO ke alwa kha kha se uska link aur search keyword kaha kha se mil rahe h aur dusri website se kitna search ho raha hai.
Types of off page SEO :-

 

  • 1 Quality backlinks :-

dusre blog par comment kare aur apne blog ka url bhi dale jisse ki apka backlinks milega aur apka off page SEO sudharega.

  • 2 :-Backlinks from niche sites :-

Apke blog se related website se backlinks mila hi niche backlinks hota hai.

Iske lie aap achhe apke blog se related blog par guest post likhe aur dusre blogger ke sat combination banaye aur backlinks parjapat kare.

  • 3 :- Target location backlinks :-

off page SEO ke liye ye bhi jaruri hota h ki apke blog ke backlinks targeted location se milne chahiye aur apke blog se related hone chahiye.

To iss parkar doston app samjh gaye honge ki SEO kya hota hai aur uska blog me kitna importance hota hai. Agar aapko phir bhi koi problems ho aur koi query ho to aap comments me bata skte hain. Thanks for reading.. Also visit our website Technical Guruji For Every Technical Help in Hindi

 

  • Also Read – Google Analytics Kya Hai or Google Analytics Account Kaise Banaye

  • – Free Blog Kaise Banaye or Blogging Ki Shuruaat Kaise Kare (step by stepguide)

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan