Blogger Me Facebook LikeBox Widget Kaise Add Kare

Facebook Likebox Widget Kaise Add Kare

Blog banane ke baad sabse important kaam hota hai blog ko acche se setup karna or setup karne ke liye sabse important hoti hain blog widgets ko add karna, jaise :- Navigation Menu, Popular Posts Widget, Social Follow Widgets, facebook page widget etc.

Aisi hi ek important widget hoti hai facebook likebox. Waise mujhe facebook likebox widget ki importance ke baare me jyada kuch btane ki jarurt nhi hai, kyuki jyadatar bloggers iske baare me acchi tarha se jaante hain.. Apne blog par lagbhag sabhi bloggers facebook likebox widget add rakhte hain or yeh jaruri bhi hota hai aapke blog ki popularity or acche traffic ke liye. Blog par facebook likebox widget add karne se aapko aapke facebook fanpage par acche likes bhi milte hain or aapke blog par acche followers bhi.

Jo new bloggers hote hain, wo facebook likebox widget ki importance ke baare me to acchi tarha se jante hain, or apne blog par isko add karna bhi chahte hain, lekin new bloggers ko yeh jyada pta nhi hota ki hum isko apne blog par kaise add kare, ya jyadatar bloggers isko sahi tarha se apne blogger blog par add nhi kar paate or kuch mistakes kar dete hain, jiski wajah se unka facebook likebox unke blog par acchi tarha se show nhi ho paata.

Blogger Blog par aap kai tarha ke facebook likebox add kar sakte hain, jaise :- Simple Likebox, Popup likebox, jQuery popup likebox etc.

Note :- Maine apni previous posts me aapko jQuery popup likebox or simple popup likebox widgets ke baare me btaya tha.

Lekin jyadatar bloggers apne blog par simple or fully responsive facebook likebox lagana chahte hain. Isliye aaj aap iss post me yahi jaaenge ki apne blogger blog par simple facebook likebox widget kaise add karte hain. Iss post mein me aapko simple facebook likebox ko blog par lagane ke baare me Btauga.

Read – ब्लॉगर में jQuery Popup Facebook LikeBox कैसे लगाएं

Agar aapko apne blogger blog par facebook likebox widget add karne me kisi bhi tarha ki pareshani ka saamna karna pad raha hai, to aap iss post ko dhyaan se padhe or apne blogger blog par facebook likebox widget ko aasani se add kare..

Blogger par Facebook Likebox Widget Kaise Add Kare, (Step-to-Step Full Guide in Hindi)

1st Trick :-
Iske liye aapko apne blogger blog ke liye facebook likebox widget plugin generate karni hogi. Facebook likebox widget generate karne ke liye sabse pehle Facebook Likebox Widget Generator par jaaye. Yaha aapko aapki widget generate karne ke liye option milega, jaisa screenshot me dikhaya gaya hai ⤵

BLOG me facebook widget add karne ke liye aap yeh steps fill kare :-

  • First box me apne facebook page ka URL enter kare
  • Second box me aap apne page ke timeline enter kar sakte hain. Agar aap chahte hain ki likebox ke saath timeline bhi show ho, to box me ‘timeline’ likhe or agar aap likebox me timeline nhi dikhana chahte to 2nd box ko empty rehne dein.
  • 3rd box ko empty rehne dein. 3rd box likebox ki width ke liye hai. Agar aap chaho to 3rd box me apne facebook likebox widget ki width apne pasand ki rakh sakte hain. Ya isko empty rakhe, iss se automatically ho jaega.
  • 4th box ko bhi empty rehne dein. 4th box likebox ki height ke liye hai. Iske aap apne pasand ki bhi rakh sakte hain.
  • Agar aap apne likebox ke header ko small karna chahe to isko tick kar dein.
  • Adapt to plugin container width ko right tick hi rehne dein.

Hide Cover Photo :- isme agar aap chahe to likebox se facebook page ki cover photo hide kar sakte hain. Hide karne ke liye isko tick kar dein.

Show Friends Face ko tick rehne dein. Agar aap chaho to isko hta bhi sakte ho.

Note :- Aapko saath me aapke facebook likebox widget ka preview bhi dekhega. Aap isko dekh kar bhi choose kar sakte hain, ki aapko kaisa likebox chaiye.

Finally… Sab steps sahi tarha fill karne ke baad niche ‘Get Code‘ par click kar dein..

Get Code par click karte hi aapke likebox widget ke codes generate ho jaega.

For Example :- Aap iss screenshot me dekh sakte hain..



:-. Screenshot ke hisaab se aapke liye 2 tarha ke codes generate honge..

Step 2
Step 3

:- first codes ko aapko apne blog ki template me <body> ke aage add karne hain. Isliye aap sabse pehle 1st code ko copy kare or yeh step follow kare :-

First code ko copy karne ke baad apne ‘blogger dashboard’ me jaaye or ‘Theme’ par click kare..
Ab Edit HTML par press kare.

Ab aapke saamne aapke blog Template ki coding open ho jaegi.. Ctrl+F press kare or <body> search kare.

Template me <body> search karne ke baad <body> ke just below (aage) first code (step 2 ka code) jo aapne copy kiya tha, wo paste kar dein or template ko save kar dein.

:- Ab first code aapki template me add ho gaya hai.. Ab aapko 2nd code ko apne blog me lagana hoga. Yeh aapke facebook likebox widget ka main code hai..

2nd code ko copy kare or yeh steps follow kare :-

  • 2nd code ko copy karne ke baad apne blogger Dashboard me jaaye or Layout par click kare.
  • Ab aap jaha bhi apna facebook likebox widget add karna chahe waha Add a Gadget par click kare.
  • Ab HTML/JavaScript ko select kare.
  • HTML/JavaScript par click karne ke baad aapke saamne aisa popup page open hoga. ⤵


Title ko empty rehne dein, ya apni pasand ka title daalein or 2nd box me jo aapne 2nd wala code copy kiya tha wo copy kiya hua code paste kare or Widget ko save kar dein..
Congratulations.

Ab aap apne blog ko open karke dekhe.. aapke blog par aapka simple and fully responsive facebook likebox add ho gaya hai.

2nd Trick…

Agar aap direct, bina code generate kiye or template me bina code add kiye agar apne blog par facebook likebox widget add karna chahte hain, to yeh steps follow kare :-

:- Sabse pehle aap yeh code copy kare :-

<iframe src="//www.facebook.com/plugins/likebox.php?href=http%3A%2F%2Fwww.facebook.com%2
Frohitmaan007&amp;width=300&amp;
height=190&amp;show_faces=true&amp;colorscheme=light&
amp;stream=false&amp;border_color&amp;header=false"
scrolling="no" frameborder="0" style="border:none;
overflow:hidden; width:312px; height:190px;" allowtransparency="true"></iframe>
<a href="https://www.geekyrohit.com/blogger-facebook-likebox-widget" rel="dofollow" target="_blank" title="blogger templates"><img src="http://img1.blogblog.com/img/blank.gif" alt="blogger templates" border="0" style="position: fixed; bottom: 10%; right: 0%;" /></a><a href="http://www.hindibloggerbuzz.com" rel="dofollow" target="_blank" title="blogger widgets"><img src="http://img1.blogblog.com/img/blank.gif" alt="blogger widgets" border="0" style="position: fixed; bottom: 10%; right: 0%;" /></a><div id="rpdr" style="font-family: arial, sans-serif; font-size: 9px;"><a href="http://www.hindibloggerbuzz.com/2017/04/facebook-like-box-widget-for-blogger.html" target="_blank" title="Facebook Widget">Facebook Widget</a></div>
  • Code ko copy karne ke baad apne Blogger Dashboard me jaaye or Layout par click kare.
  • Layout me jaane ke baad Add a Gadget par click kare or HTML/JavaScript par jaaye.
  • Ab title box me apni pasand ka title baatein or next box me copy kiya hua code paste kar dein..


Note :- code me red words me likhe rohitmaan007 ko remove karke iski jagah apne facebook page ka URL laga dein..

for examle :- www.facebook.com/rohitmaan007 hai to apko keval ye last wala red word copy karke upper code me paste kar dena h.

  • Ab iss code me itna change karne ke baad widget ko save kar dein. Ab aapke blog par facebook likebox widget add ho gaya hai. Aap apne blog ko open karke iska preview dekh sakte hain.

Note :- Yeh wali direct trick jyadatar blog ki template me work nhi karti, isliye aapke liye sabse better tarika first wala hi rahega. 1st tarika sabhi type ke blogs me work karega.

Also Read – 

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan