ब्लॉगर पोस्ट एडिटर (Blogger Post Editor) की पूरी जानकारी हिंदी में – Blog/Website Banane ke baad sabse pehle hame apne blog par kuch achi posts publish karni hoti hain. Yeh sabse jyada important hoti hai, lekin new bloggers post editor ke baare me jyada jankari nahi rakhte or yeh pta nahi hota hai ki new posts kaise likhe or publish kare..
Isliye aaj ki meri yeh post isi topic par hai, ki ‘blog par new post kaise likhe or kaise publish kare..
New post likhna hi sab kuch nahi hota hai, post ko ache se set karke likhna, design karna etc bahut importent work hote hain, jo hame post likhte waqt dhyaan me rakhna bahut jaruri hote hain..
:- Iss post mein me aapko detail se btauga ki blogger blog par posts kaise likhte hain..
New blog post kaise likhe :-
- New blog post likhne ke liye aap apne Blogger Dashboard me jaye..
- Iske baad yaha likhe New Post par click kare..
Blogger Post Editor Full Guide In Hindi – Blogspot पर नयी ब्लॉग पोस्ट कैसे लिखें
New Post Ki Starting ( Post ke main parts )
Post ki starting ka dhyaan hona jaruri hai, ki post likhna kaise start hota hai.. Isme post Title or Body aate hain..To chaliye jante hain :-
Post title ke box me aapko apne post ka Title (Heading) Likhni hoti hai.. Yeh aapki post ka sabse main part hota hai, jaise :- Is post ka title hai- ” Blogger post editor ki puri jankari, Blogger par new post kaise likhe..“
2 Post Body :-
Post likhte waqt post editor ki sabhi tools ke baare me acchi jankari hona bahut jaruri hota hai, warna hum apni post ko acche se nahi likh payege, or post achi nahi hui to blog par visitors nahi aayege..
To jaante hain Blogger ki Post Editor Tools ke bare me detail se :-
1 Compose/HTML :-
Post editor me sabse pehla option Compose/HTML ka hota hai.. Agar hame simple post likhni ho, to hum Compose me likhte hain, lekin agar hame Coading, Pages, Ads, ya HTML Code use karne ho to hame HTML select karna hoga..
2 Undo/Redo :-
Undo/Redo post editor ka 2nd feature hai..
iska mtlb hota hai, ki agar post likhne me koi words galat type ho jaya ho to hum Undo ka Button ko press karke usko delete kar sakte hain, or agar galti se jyada delete ho jaye to Redo se wapis la sakte hain..
Computer me iske liye shortcut hai :- Ctrl+Z
3 Font Style :-
Font ke option se hum apni post me apni pasand ke Font style select kar sakte hain.. Yaha diye gaye Fonts ko select karne ke baad hamari post apni posand ke font me likhi jaegi.. Jaise :- Arial, Courier or Times etc.
4 Font Size :-
Iss Feature se aap apni post ke liye type kiye jane wale posts ka size select kar sakte hain.. Jaise :- Small, Normal, Large etc.
5 Format :-
Computer me iska shortcut hai- Ctrl+B
7 “I” (Italic) :-
Iski madad se hum apne words ko Tedha (Tircha) kar sakte hain..
Iska shortcut hai- Ctrl+I
8 “U” (Underline) :-
Iski madad se hum apne words ke niche Underline kar sakte hain.. Kisi special word ko Underline karna ho to U ko use kare..
Iska shortcut hai- Ctrl+U
9 ABC (Strikethrough) :-
Agar aapko apne words ko bich me se cut karna hai, to aap iss feature se inke bich me underline karke unko kaat sakte (cut) hain..
10 Text Colour :-
Iski madad se aap words ka colour change karke apni pasand ka set kar sakte ho.. Yaha aapko bahut saare alag alag colour milte hain..
11 Text Background Colour :-
Iski madad se aap Text/Words ke piche (back) colour change kar sakte hain..
12 Add/Remove Link :-
Yeh bahut hi important feature ya option hota hai..
Agar aapko apne post me kisi bhi type ki link ya apne other posts ki link add karni ho, to aap iski madad se link ko add kar sakte hain, ya add ki gayi links ko remove kar sakte hain.. Jaise :- Top 5 Best Post Writing Tools And Apps For Bloggers 2020
Yeh option bhi important hota hai..
Iski madad se aap apne post ke bich me apni pasand ki images add kar sakte hain..
14 Insert Video :-
Agar aapko apni post me post se related, ya koi other video add karna ho, to aap iski madad se apni post me video add kar sakte ho..
15 Insert Jump Break :-
Iski madad se aap apni post ko do hisso me devide kar sakte hain..
Iski jarurat simple blogger templets me padti hai, kyuki Simple templets me Homepage par full post show hoti hai..
16 Alignment :-
Iski madad se aap apni post words ko arrenge kar sakte ho, or unko sahi kram me set kar sakte ho..
17 Numbered List :-
Agar aapko apni post ko numberd karna hai, ya list add karni hai, ya apni post ko listed karna hai, to aap iski madad se kar sakte hain..
18 Bullet List :-
Yeh option ya tool bhi Numbered List ki tarha hi hota hai. Isme dots aate hain.. Agar aapke post me kuch special show karwana ho, to aap bullet list ko use kare..
19 Quotes :-
Iski madad se aap apni post me kuch khash likh kar dikha sakte ho.. jaise:- Aap apni post me kisi fomous men (celebrity) ki koi khash batein (Quotes) add kar sakte hain..
20 Remove Formatting:-
Iski madad se aap post me add kiye gaye sabhi formats, jaise :- Headings, Underlines, Fonts, Colours etc.ko ek sath ek click par remove kar sakte hain.. Mtlb ki aap iski madad se apni post ko ekdum simple bna sakte ho..
21 Check Spellings :-
Yeh bahut hi useful feature hai..
Iski madad se aap apni post ki spellings ko check kar sakte ho, ki wo sahi hain, ya galat..
Iss par click karte hi wo sari spellings (words) highlight ho jaege, jo galat hain..
22 अ (Transliterate Words Typed Phonetically in English Script) :-
Agar aap hindi me blogging karte ho to yeh option aapke liye bahut jyada kaam ka ho sakta hai..
23 Left/Right :-
Iski madad se aap words ki direction change kar sakte hain.. agar aap left side se likhna chahte hain, to left select karke likh sakte hain..Yeh option jyadatar alag languages ke liye kaam aata hai. Jaise :- Urdu me likhne ke liye..
Blog Post ki settings ke liye Options
Blog post ko set karne ke liye inn options ko use karna bahut jaruri hota.. Yeh options aapke blog post SEO ke liye sabse jyada jaruri hain, isliye aap inko ignore nahi kar sakte..
To chaliye jante hain :-
Posts ke liye Labels ko select karna bahut jaruri hota hai.. Labels option ki madad se aap apni post ke liye Labels bna sakte hain, or post ko alag alag category me devide kar sakte hain.. Jaise :- Android, Internet, Blogging etc.
2 Schedule :-
Iss option ki madad se aap apni post ke liye time fix kar sakte ho.. Time fix karne ke baad post aapke fix kiye gaye time par apne aap publish ho jati hai..
3 Permalink :-
Permalink ek bahut hi important option hai post editor ke liye..
Iski madad se aap apne post ki link apni pasand se set kar sakte hain, ya Long ya short link kar sakte hain..
Costom link ko select karke aap apni pasand ki link set kar sakte hain..
4 Location :-
Iss option ki madad se aap apni location set kar sakte hain.. Aap yaha apni country ya state set kar sakte hain..
5 Search Description :-
Search Description bhi ek bahut jyada important option hota hai..
Iski madad se ham apne users ko short me yeh bta sakte hain ki hamari iss post me kya hai..
Yeh option pehle se enable nahi hota hai, isko isko enable karna hota hai..
6 Options :-
Inki madad se aap apni post ke liye kuch extra settings kar sakte hain, jaise ki post par comment karni hain ya nahi.
Post ko complete karne ke baad publish ke options
1 Publish :-
Yeh option aapki post ko publish karne ke kaam aata hai ya iski madad se aap apni post ko publish kar sakte hain..
2 Save :-
Agar aapne apni post ko ekdum complet kar liya hai, lekin abhi post nahi karna chahte ya post complet nahi hui or baad me complet karna chahte hain, to iski madad se aap apni post ko save kar sakte ho..
3 Preveiw :-
Iski madad se aap apni post ka online Preveiw dekh rakte hain, ki post kaisi lag rahi hai..
4 Close :-
Iss par click karne par aapka post editor band (close) ho jata hai, or likhi hui saari post delete ho jati hai…
Aapko hamari yeh post kaisi lagi hame jarur btaye, or agar post se related aapka koi bhi quetion ho to hame comment jarur kare.. Blogging ke bare me or jankari ke liye hamari website ko follow karte rahe… Thanx for Read…!
Thank You Sir aapne hame ek achchi jankari di Love you sir
Thank You Sir aap hame hamesha new jankari dete rahna love you sir ji
हमारे साथ जुड़ने के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद। ऐसे ही हमें सपोर्ट करते रहिए..!
thanks for sharing great information.
Actually mere me hindi आ ka opsion nahi aa raha hai
Thank You Sir aapne hame ek achchi jankari di Love you sir
Geeky rohit blog ko pyaar dene ke liye aapka bahut bahut dhanyawad… Aisi hi hindi jankariyon ke liye jude rahiye
Thank You Sir aapne hame ek achchi jankari di Love you sir
Sir, mera ek sawal tha, kya me puri post ko html view me likh sakta hu? Bina compose view me likhe, kyu ki mujhe html, css, ki achhi tarah se jankari hai, aur me meri post ko achhe se design karna chahta hu, compose view me hume margin, padding jaise option nahi diye hote hai, to kya me puri post ko html view me likh sakta hu, Bina compose view me likhe?
Ha. Aap aisa kr skte ho, agar aap coding me koi mistake nhi krte to koi dikkat nhi aaegi