Google Search Indexing – ब्लॉग पोस्ट को Google Search में कैसे लाएं

Google Search Indexing - ब्लॉग पोस्ट को Google Search में कैसे लाएं

Google Search Indexing Guide – Blog ki har ek post ka google search me aana bahut jaruri hota hai. Iske bina blog ko jyada traffic nahi mil sakta, kyuki blog par jyadatar visitors g—oogle search se hi aate hain..Lekin, jyadatar new Bloggers apni new posts to publish kar dete hain, lekin unko yeh pta nahi hota hai ki new blog post ko publish karte hi google search me sabse pehle kaise dikhaye..

Read :- New blog bnane ke baad usko acche se setup kaise kare

New bloggers ko iss se related pareshaniyo ka samna karna padta hai or
jyadatar new bloggers quetions karte hain, ki :-

  • Blog ki new post ko google search me kaise laye
  • New blog post ko search me sabse top par kaise laye
  • New blog Post ko google search console me kaise add kare, Etc.

:- Isliye aaj iss post mein me new bloggers ke inn sabhi quetions ka solution karuga, or btauga ki kaise new blog post ko publish karte hi google search me kaise laye, ya new blog post ko google search console me kaise add kare :- To chaliye jante hain, ki hum aisa kaise kare …

Google Search Indexing – ब्लॉग पोस्ट को Google Search में कैसे लाएं

Google Search Indexing - ब्लॉग पोस्ट को Google Search में कैसे लाएं

Iske liye aapko sabse pehle Apne Google Search Console ke Dashboard me jana hoga.. Yaha hum sochte hain ki aapne apni website ko Google Search Console me Add kiya hua hai, To Aap yeh steps follow kare :-

Step 1 – Agar aapne apni website/Blog ko Google Search Console me Add kiya hai, to aap sabse pehle Search Console ke Dashboard ko open kare.

www.mylifemyrule.com

Note :- Agar aapne apni website ko google search console me add nahi kiya hua hai, to aap yeh post padhe :- New Website Ko Google Search Console Me Kaise Add Kare

Step 2 – Dashboard open hone par aapko kuch options milege, Jaise :- Screenshot me dekhe

www.mylifemyrule.com

Inme se “Crawl ” par click kare..

Step 3 – Crawl par click karne ke baad kuch or option open honge, Jaise :-

www.mylifemyrule.com

Inn options me se aap ” Fetch as Google ” par click kare, or next page open hone ka wait karo..

Step 4 – Next page open hone par aapko ek box milega, jisme aapko apne uss post ka URL (Link) lagana hoga, jisko aap google search me lana chahte hain..

www.mylifemyrule.com

Note :- Yaha aapko sirf post ka url enter karna hai, full website ka nahi, kyuki website ka url already hota hai.. (Screenshot me dekhe)

Note 2 :- Agar aapko only apni website ko hi google me lana hai, to box ko empty rakhe, or aage ki steps follow kare.

Step 5 – URL (Link) lagane ke baad niche (Down me) box me kuch options hain, inme se “Desktop” ko select kare or “Fetch” par click kar dein..

www.mylifemyrule.com(Upar ke Screenshot me dekhe)

Step 6 – Ab aapko apni post ko verify karna hoga.. Verify karne ke liye post ke aage box me likhe ” Submit to Index ” par click kare..

www.mylifemyrule.com

Step 7 – Ab verify ke liye ” I’m not a robot ” ko verify kare or down me “Crawl only this URL” ko select karke ” Go ” par click kar dein..

Done…! Ab aapka post Google me add ho gaya hai. Ab apne post ko google me search karke dekho, aapka post google search me milega.. Agar aapke post ko publish kiye 5 minut hi hue hain to bhi aapka post google search me dikhna start ho jaega.

Also Read – SEO Friendly Blog Post कैसे लिखें | Geeky Rohit

:- Aise hi aap apne sabhi posts ko add karke Google search me top par la sakte ho. Yeh ekdum easy hai..

Ab agar aapka post se related koi sawal hai, to aap hame comment karke puche, or blogging se related other posts ke liye hamare blog ko Follow karte rahe or other blogging posts Read Kare.. Thanx..!

Also Read – ब्लॉगर पर Custom Domain Name कैसे सेट करें (Godaddy)

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan