ब्लॉग बाउंस रेट (Bounce Rate) क्या होती है

bounce rate kya hai

Blog Bounce Rate Kisi bhi blog ki popularity ke liye sabse jyada dhyaan dene wala point hota hai. Jis blog ki Bounce Rate kam ho, wo blog accha popular or jyada traffic wala maana jaata hai, lekin jis blog ki Bounce Rate bahut jyada ho, usko ek popular blog nhi kaha ja sakta, kyuki blog ki traffic hi Bounce Rate ko fix karti hai.

Jyadatar new bloggers Bounce Rate ke baare me nhi jaante hain or wo blog Bounce Rate par jyada dhyaan nhi dete, aise me unka blog jyada traffic nhi le pata or popular nhi hota.

Agar aapke blog ki Bounce Rate bhi jyada hai, to yeh aapke blogging career ke liye ek chinta ka vishay hai. Aapko iske baare me sochne ki jarurt hai. Aaj iss poori post me blog Bounce Rate ke baare me full detail ke saath jaaenge.. Iss post me hum janege ki :-

Blog Bounce Rate Kya Hoti Hai Or Bounce Rate Ko Kaise Kam Kare

bounce rate kya hai

Bounce Rate Kya Hai

Kisi bhi website ya blog par aapne wale visitors ka percentage, jo sirf ek page ya post dekhne ke baad aapki Website se chala jata hai. Isiko Bounce Rate kaha jata hai.

:-. Doosre words me, jo visitor aapke blog par sirf ek post padhne ke liye aata hai, lekin usko aapke blog par jaane ke baad kuch or accha sikhne ko milta hai ,wo kuch or post bhi read karta hai or aapki Website par thode time or rehta hai. Isse aapke blog ki Bounce Rate kam hogi. Lekin agar visitors aapke blog par jaane ke baad jyada time spend nhi kare or bina kuch or padhe waapis aa jaaye, to iss se aapke blog ki Bounce Rate jyada ho jaegi.

Kisi bhi blog ki Bounce Rate ko Google Analytics fix karta hai. Analytics hi aapke blog ki Bounce Rate ko calculate karta hai, or aapko btata hai ki aapke blog ki Bounce Rate kitni hai.

Agar aapke blog ki Bounce Rate 60%-70% se jyada ho jaaye, to aapko iss par dhyaan dene ki jarurat hai or aapko issey kam karne ki kosis karni chaiye warna aapka blog successful nhi ho paega.

Read This Post :- Google Analytics kya hai or Analytics Account Kaise Banaye

Bounce Rate Ko Kaise Check Karte Hain

Bounce rate ko check karne ke liye sabse best platform/tool Aoogle Analytics hai. Analytics Account hi aapki aapke blog ki Bounce Rate ki poori jaankari day-by-day or hourly deta hai. Iske liye aapko apne blog ke liye google analytics account bnana hoga or blog ko Analytics ake saath jodna padega. Uske baad aap Analytics Account par blog ki Bounce Rate ki poori jaankari prapt kar sakte hain. Iske alawa bhi Analytics Account aapke blog ke traffic ki saari jaankari jaankari aapko deta hai.

Iske alawa aap apne blog ki bounce rate ko alexa par bhi dekh sakte hain, lekin alexa par aapko aapke blog ke bounce rate ki jaankari monthly milti hai, daily nhi.. Daily bounce rate check karne ke liye analytics hi best rahega.

Blog ki Bounce Rate jyada hone ki wajah (Reasons)

Blog ya website ki Bounce Rate jyada hone ki koi wajah hoti hain, jaise :-

Slow Page Loading time :-

Page Loading time slow hona Bounce Rate ko badhata hai. Agar aapki Website slow open hui to visitors isse jyada attract nhi honge, or aapki Website se bina kuch padhe hi wapis chale jaege. Isliye slow page loading aapke blog ki bounce rate ko badhata hai.

Blog par advertising bahut jyada hona :-

Blog par jyada advertising bhi Bounce Rate ko badhata hai. Extra or unusual ads lagana reader ko aapke blog or posts par focus nhi karne dete, isliye extra or unusual advertising bhi blog bounce rate ko badhata hai.

Pop-ups Use Karna :-

Bahut se bloggers apne blog par pop-ups lagate hain, jaise:- popup facebook likebox, popup newsletter, subscriber etc. Popup se aapko likes & subscribes to milte hain, lekin kya aap jaante hain ki yeh blog ki bounce rate badhate hain, kyuki kai baar hum aise pop-ups lagate hain, jinme readers interested bhi hote ya aise bhi pop-ups lag jaate hain, jinko hata paana mushkil ho jaata hai. To aise me readers jyada problem feel karte hain or wo aapke blog ko chod (Leave) kar dete hain. Isliye aisa karne se bhi Bounce Rate ko badhava milta hai.

Unusual & unhelpful contents :-

Website ki traffic ke liye uske content hi sab kuch hote hain. Agar aapke blog ya website par unusual or unhelpful contents hue to readers inko read nhi karege or aapki website ko visit nhi karege. Aise me normal si baat hai, ki aapke blog ki bounce rate jyada hogi. Isliye unusual content bhi bounce rate ko badhate hain.

Back links kisi bhi blog ki traffic or bounce rate ke liye bahut jaruri hoti hain, kyuki back Link visitor ko ek post se doosri post par jaane me madad karti hain. Back links se aap apne blog ke special contents related ke roop me new visitors ke saamne rakh sakte hain. Isliye back Link’s ka bounce rate me bhi important yogdaan hota hai or Inko posts/contents me istemaal na karna bounce rate ko badhava deta hai..

Also Read :- Blog post writing ke liye best top 5 post writing tools

Blog ki starting me blog ko acche se setup or design kaise kare (Full Guide)

 

Bounce Rate Kam (Reduce) Karne Ke Kuch Khash Tips (Bounce Rate Kam Karne Ka Tarika)

Ab aap yeh to jaan chuke hain ki Bounce Rate jyada hone ki kya kya wajah ho sakti hain. Ab jaante hain ki hum apne blog ki bounce rate ko kaise kam kar sakte hain :-

Design Your Website :-

Blog ko design karna ek important work hota hai, or yeh blog ki Bounce Rate ke liye bhi important samjha ja sakta hai. Blog ka design jitna jyada accha hoga, visitors aapke blog ko utna hi jyada pasand karege. Blog me aisi Widgets add kare jinse visitors ke liye aapke blog ki other posts tak jaane me madad ho sake. Aisa aap blog ko design karte time hi karege, jo jyada behatar rahega. Design blog ki bounce rate ko kam karne me aapki bahut jyada madad karega, isliye aap isko avoid nhi kar sakte.

Write Top Quality & Useful Contents :-

Bounce Rate ko kam karne ke liye aapko apne blog ke contents/posts par jyada dhyaan dena hoga. Hamesha top quality or visitors ke liye helpful post hi likhe.. Hamesha aisi posts hi likhe, jo visitors ke liye jyada se jyada helpful ho or posts hamesha long likhne ki kosis kare. Agar visitor ko aapke blog par uske jarurat ki ek se jyada posts milengi to wo aapke blog ki kuch jyada posts padhne ki kosis karega. Iss se aapke blog ka traffic bhi badhega or bounce rate bhi kam hogi.

Use Back Link’s :-

Back links ki madad se aap apne blog ki other important or related posts ko readers ke saamne rakh sakte hain, jiss se readers apne jarurt ki or helpful ko direct padh sakta hai. Isliye apne har ek post me high quality back links use kare, taaki visitors/readers aapke blog ki kuch or posts bhi padhe. Agar aap aisa nhi karege to visitor sirf ek hi post ko padh ke aapke blog se chala jaega, or bhir aapke blog ki bounce rate jyada jaegi..

Isliye blog me back links ki importance ko samjhe or inka jyada se jyada use apne new blog posts me kare.. I’m sure,ki iss se aapke blog ki traffic bhi badhegi or bounce rate kam bhi hogi.

Posts Ko Share Karne Ka Tarika Easy Kare :-

Post sharing ke options bhi iske liye important samjhe ja sakte, kyuki agar readers ko aapke blog ki koi post pasand aati hai or wo usko apne friends ke saath share karna chahta ho to share buttons uski madad karege. Isliye apne blog posts ke liye share buttons ko add kare or buttons ko jitna jyada ho sake share karne me easy kare.. iss se aapko apne blog ki bounce rate kam karne me madad milegi.

Jyadatar bloggers blog se jyada earning karne ke liye blog or blog posts me bahut jyada or unusual advertisement add kar dete hain, jo visitors ke liye kaam ke bhi nhi hote.. isliye blog me jyada ads na lagaye or hamesha aise hi ads blog posts ke bich me lagaye jo posts ke related hi lage. Iske alawa posts me animated ads ke bajaye text ads use karne ki kosis kare.

Kai baar hota aisa hai ki jyada advertising hone ki wajah se readers aapke blog par boring feel karne lagte hain, or aapke blog ko leave kar sakta hai. Isliye extra advertising se bache, warna aapke blog ki bounce rate jyada or popularity kam ho sakti hai.

Page Loading Time Ko Kam Kare :-

Agar aapki Website slow hai or pages open hone me jyada time lagta hai, to yeh aapke liye ek chinta ka vishay ho sakta hai, kyuki slow page loading bounce rate ko badhati hai. Agar aapki website load hone me jyada time legi or pages slow load honge to readers iss se jyada attract nhi honge or wo aapke blog ko leave karke kisi or blog par chale jaege.

Isliye apne website ki page loading speed me sudhar kare. Seo ready Mobile template use kare, High images use na kare, Extra and unusual Widgets ko remove kare or SEO par dhyaan dein.

Avoid Pop-ups :-

Jaisa ki maine aapko bataya tha, ki pop-ups use katna bounce rate ko badhava dete hain. Isliye aap apne blog par pop-ups use karne se bache or jitna ho sake simple Widgets use karne par hi dhyaan dein, warna popup likebox or subscribe box ke chakkar me blog ki bounce rate jyada ja sakti hai.

Final Words :-
Agar aap apne blog ki bounce rate ko reduce karna chahte hain, to aapko ye tips follow karne honge. Inko sirf padhne se hi aapka kaam poora nhi ho paega.
Iske alawa aap har blog post me comments ke through apne friends se puche ki unko kya pasand hai, ya unko kisi bhi post me koi help ki jarurat to nhi. Comments ka replies kare or readers ki jarurat ko samjhe. I sure… Ki aisa karne se aapke blog ki bounce rate reduce hogi or aapko apne blog par accha traffic milega.
So…
Ab agar aapka bhi koi question ho ya kisi bhi other topic par aap koi post chahte ho, to apna question comment box me kare. Me aapki problem ko solve karne ki poori kosis karuga.

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan