ब्लॉग या वेबसाइट को Google Search Console में कैसे ऐड करें

ब्लॉग या वेबसाइट को Google Search Console में कैसे ऐड करें

Jyadatar new bloggers apna blog to ekdum easy tarike se bana lete hain, lekin, usko Google Search Console me add nahi karte, iski wajah se hamara blog search engine me nahi aata hai, or hame jyada readers or traffic nahi milta hai..

New Blog Banane ke baad subse jyada importent kaam hota hai, blog ko Google Search Console me add karna… Jaisa ki hum jante hain, blog ko Search Engine me lana kitna jaruri hota hai.. Google Search me aane ke bina hamara blog koi kaam ka nahi hota hai, kyuki hamare blog ke liye Readers ya new visitors google se hi jyada aate hain..

Isliy apne blog ya website ko google search me laane ke liye Usko Google Search Console me Add karna bahut hi jaruri hota hai..

Isliye… Aaj iss post me main, aapko btauga ki apne blog/website ko Google Search Console me kaise add kare..!

ब्लॉग या वेबसाइट को Google Search Console में कैसे ऐड करें

ब्लॉग या वेबसाइट को Google Search Console में कैसे ऐड करें

Step 1 :- Sabse pehle apne browser se Google Search Console Ko open kare..

Step 2 :- Iske baad yaha par aapko login karne ke liye kaha jaega.. isliye login karne ke liye apni email id or password lagaye or login kare..

Step 3 :- Ab yaha google search console ka home page open hoga..

Ab agar aapko apni website/blog ko console me submit karna hai, to Upar Right Side me, Red box me likhe ‘ADD A PROPERTY‘ par click kare..

Step 4 :- Ab yaha par ek box open hoga.. First Box me Website hi rehne dein, or 2nd Box me apni Website/Blog ka full URL daalein, or Down me “Add” par click kar dein..

Step 5 :- Ab aapko apne Enter kiye gaye URL ko verify karwana hoga.. Verify kiye bina Website Add nahi hogi..

:- Yaha aapko verify karwane ke liye 4 option milege

  1. HTML tag
  2. Domain Name Provider
  3. Google Analytics
  4. Google Tag Manager.

Step 6 :- Inme se aap first option ‘HTML tag‘ select kare, kyuki yahi sabse easy option hai..

– Yaha aapko ek code milega, usko copy karo.. Aapko Yeh apne blog ki templet ke ‘head‘ me past kar add karna hoga…

:- Add karne ke liye yeh step follow kariye :-

Step 1 :- Apne Blog ke dashboard me jaye or Templet par click kare..

Step 2 :- Ab EDIT HTML par click kare..

Step 3 :- Next, ab aapke saame aapke blog ka templet designer open hoga, Usme ‘Head‘ Search kare..

Step 4 :- Ab head ke niche copy kiya gaya code Paste kare or temple ko save kar dein..

Ab wapis Search console me aaiye or website ko verify ke liye click kariye.

Step 7 :- Ab aapne verify ke liye ‘HTML tag‘ select kiya tha, to HTML tag par click kare…

Step 8 :- Ab agar aapne HTML meta tag code apne blog ke Head Section me Paste save kar diya hai, to Down me Verif par click kar dein..

Ab agar aapne Code ko sahi se paste kiya hai, to aapki website verify ho jaegi, or website search console me add ho jaegi.

Website ko Google Search Console me add karne ke fayde :-

Website ya Blog ko Search Console me add karne ke aapke liye bahut jaruri hota or iske bahut saare fayde hain, jaise –

  • Website ko Google Search Console me add karne se hame acha traffic or new visitorrp milege..
  • Search Console ki madad se hamari website Google search me aaegi or hamare new post search engine me jaldi show honge..
  • Iski madad se agar hamari website ke URL’S me koi bhi error hota hai, to hame pta chal sakta hai..
  • Agar hum apne blog ka koi bhi post, jo hum search me na lana chahe, to hum usko search console par se rok sakte hain..
  • Hamari website par aane ke liye visitors kaise kyewords use karte hain, yeh pta laga sakte hain.. etc.

Final Words

Agar post se related aapka koi bhi quetion ya problem ho, ya verify ke other tariko ko try karna chahte ho to aap hame Comment me puch sakte ho.. Post kaisi lagi hume jarur btaye… Thanx.!!

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan