Hello, Namskar Dosto, Az mai apko unsecured ya risky websites me login karne ke liye ek 10 minute ka dummy mail Ya fake mail Id kaise banate hain, wo bata raha hu.
Kyunki ajkal bahut si website uplabdh h, jin par kuch bhi karne se pahle wo hamse sign up mangte h. Aur hame ek mail id ki jarurat hoti. Ham apni khud ki personal mail id waha use nahi karna chahte h kyunki hame un website par pura bharosa nahi hota h ki wo sahi website h aur sath me unsecured bhi ho skti h. Us samay hame personal mail ka use nahi karna chahiye kyonki wo website hamari nizi jankari ko lik kar skti or hamare system ko bhi damage kar skti h..
Us paristhiti se bachane ke liye az mai apko ek aisi website ke bare me bataunga jo ki hame ek dummy mail provide karwati h aur wo email 10 minute bad apne aap khatam ho jati h. To chaliye shuru karte h.
10 Minute Dummy Mail Ya Fake Mail ID Kaise Banaye
Step 1
sabse pahle apko dummy mail prapat karne ke liye ek website par jana hoga. Jiska naam h www.10minutemail.net
Step 2
iss website par jane ke baad wo website apko ek captcha degi jisko fill karna. taki unhe pata chal jaye ki aap robot nahi h, koi human being hi. kyunki wo secure system provide karwate h, taki koi machine uska durupyog na kar le.
Step 3
captcha dalne ek baad wo website open ho jayegi aur apko ek mail prapat hogi.jo ki 10 minute baad apne aap disposal ho jayegi.aap us email ka upyog jis bhi website par karna chahte h waha uska use kar skte h. Bas apko jo mail milti h usko copy karna h aur aap jis website me login karna chahte h waha usko dal skte h.
Step 4
Mail prapat hone ke baad yah website apko 4 option deti h aap unka upyog karke apne mail ko mail refresh , refill ,new mail aur recover kar skte h.
10 Minute Mail/Fake Mail ID Ki Kuch Khasiyat Ya Fayde
1 Disposable
is mail ki sabse khas bat yahi h ki iss mail ka mailbox ek bar delete hone ke bad usko koi bhi access nahi kar skta. To hamare 10 minutetak use kiye gaye sare mail apne aap delete ho jate h aur unhe koi bhi. Phir use nahi kar skta.
2 Private Mailbox
Ye website hame jo bhi mail provide karwati h wo sare mai private hote .wo custom nahi hote h.ek bar jo mail use kar li phir uss naam ki koi bhi dusri mail nahi banati h. Ye randomly banti h.
3 Time Set Kar Sakta Hai
Ham is mail ke liye apne anusar bhi time set kar skte h .jitna hame suitable lage.maximum 100 minute tak set kar skte h aur aur us samay ke baad wo apne aap delete ho jayegi.
4 Recovery
ham apne just delete hue mai ko recover bhi kar skte h lekin ham unhe tab tak hi recover kar skte .jisse pahle ki wo system delete na ho. System se delete hone ke baad unhe recover nahi kar skte.
5 Domain Exchange
Ye website har 45 din se apna domain exchange karti rahti h. Kyonki kuch website isko block kar deti h to usse bachane ke liye ye 45 din baad domain exchange karti h.
6 Mobile Supported
Iss website ke sabhi features ko aap mobile par bhi use kar skte h kyonki ye ek mobile supported website h.
Apko ye jankari kaisi lagi hame comment ke dawara bataye aur apko koi problem aa rahi ho to bhi comment ke dwara hame bataye. Aur isko share bhi kare. Also Read – BlogSpot पर Free Blog या Website कैसे बनाएं
Leave a Reply