ब्लॉगर में Intense Debate कमेंटिंग सिस्टम कैसे लगाएं

ब्लॉगर में Intense Debate कमेंटिंग सिस्टम कैसे लगाएं

Blogger Par Intense Debate Commenting System Kaise Lagaye – Jyadatar bloggers blogging ke liye free platform Blogger ko hi use karte hain, lekin Blogger ka commenting system jyada kuch khash nhi hota hai, or lagbhag sabhi bloggers isko change karke wordpress jaisa comment system blogger par lagana chahte hain, jisse unke blog ka commenting system jyada better or attractive ho sake.

Blog ki design or uske commenting system se hi koi bhi blog ek profesional blog lagta hai or visitors ko attract karta hai, isliye sabhi blogger platform using bloggers apne blog par professional (wordpress jaisa) comment system lagana chahte hain.

Jaise ki aap jaante hi honge ki blogger par sam to sam wordpress jaisa comment box nhi set kar sakte, lekin phir bhi aap blogger par professional comment box laga sakte hain, jo wordpress jaisa to nhi hoga, par aapko usme wo sab milega, jo aap chahte hain. Mtlb aapko lagbhag wordpress jaisa hi comment box system mil sakta hai.. Aise comment system aapko Intense Debate or Discus provide karwate hain.

Agar aap bhi apne blog par bloggers comment box ko hata kar, koi other professional third party comment system lagana chahte hain, to yeh post aapke kaam ki hai. Aaj Iss post mein me aapko Intense Debate comment system ko apne blogger blog me lagane ke baare me btauga ki Intense Debate comment box system ko blogger par kaise install kare..

यह पढ़े :- Blogger Par Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare ( Step-To-Step Guide)

Blogger Par Intense Debate Commenting System Kaise Lagaye – Install Kare (Step-to-Step Full Guide)

ब्लॉगर में Intense Debate कमेंटिंग सिस्टम कैसे लगाएं

Apne blog par Intense Debate comment system lagane ke liye aapko sabse pehle aapko apne blog ki template ka backup download karna padega. Template ka backup lene ke liye aap yeh steps follow kare :-

  • blogger dashboard me jaaye or Theme par click kare.
  • Ab Backup/Restore par click kre.
  • Ab next popup page par open hue Download Theme par click karke apne blog Template ka backup save kar lein.

Note :- Iss template backup ko aap ek alag folder me save kar lein, kyuki yeh aage use me aane wala hai. Iss se aapko koi jyada dikkat nhi aaegi.

Ab Intense Debate comment system ko blog par lagane ki main steps main steps start hoti hain. Inn steps ko dhyaan se follow kare :-

Note :- Kisi bhi step me sahayta ke liye saath diye gaye screenshote dekhe..

Step 1 :- Sabse pehle aap Intense Debate ki official website www.intensedebate.com par jaaye.

Step 2 :- ab aap Intense Debate ke home page par pahuch jaege. Home page par aapko Sign Up ka option milega, to aapka Intense Debate par pehle se account nhi hai, isliye aap Sign Up par click kare.

Step 3 :- Sign Up par click karne ke baad next page me aapke saamne Intense Debate ko join karne ke liye ek form open hoga, Jaisa screenshot me dikhaya gaya hai  –

Iss form me aapko yeh informations fill karni hongi :-

  • Username :- Isme aapko apna username set karna hoga, jo bhi aapko pasand ho. Agar aap chaho to apna name ya website/Blog ka name bhi laga ke try kar sakte ho.
  • Email :- Yaha par aapko apni email id bharni hogi.
  • Password :- Ab iss box me aap apne Intense Debate account ke liye passwords select kare
  • Confirm Password :- apna password ek baar phir se lagaye or verify kare.

Ab itna bharne ke baad niche jo 2 box dikh rahe hain, unpar jaaye or 2nd (I want to install IntenseDebate on my blog Or website) ko select kare, kyuki aapko IntenseDebate comment aye apne blog par lagana hai.

Ab itna karne ke baad niche dikh rahe Sign Up par click kar dein..

Sign Up par click karte hi aapka Intense Debate account bann gaya hai, lekin aapko pehle usko verify karwana hoga. Sign Up par click karte hi next page me IntenseDebate aapke fill kiye gaye email id par ek confirmation msg bhejega. Isliye ab next step ke liye aapko apna gmail account kholna hoga..

Step 4 :- Apna gmail account open kare or IntenseDebate ki taraf se aaye hue message ko open kare. Iss message me aapko ek confirmation link diya hua hoga, uss link ko open kare.

Link ko open karte hi aapka account verify ho jaega or aapka IntenseDebate account start ho jaega.

Ab aapko apne blog par Intense Debate ko install karna hoga. Isske liye aap aage ki ye steps follow kare :-

Step 5 :- apne IntenseDebate account ke verify hote hi aapke saamne Continue With your installation par click kare, ya Dashboard me jaakar ‘Install IntenseDebate’ par click kar dein.

Step 6 :- Ab next page me open hue box me apne blog ka url enter kare or Next Step par click kare.

Step 7 :- Ab next step me apna blogging platform select kare, jaise aapko blogger par IntenseDebate install karna hai to Blogger select kare.

Step 8 :- Ab next step me aapko blogger ki kuch steps ya details dikhaee dengi. Ab aapne pehle apne blog ki template ka backup download kiya tha to aapko yeh steps follow karne ki jarurat nhi hai. Sabse upar all new posts (Recommended) ko tick kare or sabse niche dikh rahe choose File par click kare.

Step 9 :- Choose File par click karne ke baad aap wo template select kare jo sabse pehle aapne backup Template download ki thi or alag se save ki thi.

Step 10 :- Ab apne blog ki template select karne ke baad Upload File and continue par click kar dein.

Ab next page me aapko white fox me ek new coding di hui mil jaaegi. Ab iss tab ko aise hi open rehne dein or ek new tab open kare.

  • Apne Blogger Dashboard me jaaye or Theme par click kare.
  • Theme par click karne ke baad Edit HTML par click kare.
  • Ctrl+A press kare or all html coding select kare or delate dein.
  • Wapis IntenseDebate waali tab open kare or Ctrl+A press karke ye saari coding copy kare.
  • Ab iss copy ki hui saari coding ko apne blog Template section me, jaha pehle waali coding delete ki thi, waha yeh saari coding paste kar dein

In simple words :- Apne blog ke template ki saari coding select karke delete kare or IntenseDebate waali coding ko select karke waha paste kar dein or template ko save kar dein..

That’s All…!

Ab template ko save karte hi aapke blog par Intense Debate comment system set (install) ho gaya hai. Ab apne blog ko open karke dekh sakte hain, comment system change ho gaya hai. Iss poori post ki koi bhi process karne mr aapko koi dikkat aati hai, to apna question aap comment box me kar sakte hai.

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan