How To Rank Your Blog On Google – Hindi Tips

Janiye Apne Blog Ko Search Me Top List Par Kaise Laaye | Apne Blog Ya Website Ko Google Ya Kisi Bhi Search Engine Me Top Par Kaise Laaye | How To Rank Your Blog And Blog Posts On Google Search Engine | Best Hindi Tips 2021
How to rank your blog in google

How To Rank Your Blog On Search Engine – Har Blogger janta hai ki kisi bhi Blog ka Google Search Engine me aana kitna jaruri hota hai.. Agar Blog Google Search me nhi aaega to aapke Blog par jyada traffic nhi milega, or aap blogging me kisi bhi tarha se success nhi ho payege.. Isliye aapke Blog ka Google Search Engine me aana bahut jaruri hai, taki visitors aapke blog ko or aapke blog par apne pasand ke content’s ko google search me find kar sake.

Lekin aapke Blog ka sirf Google Search me aana hi kaafi nhi hai, uska Google searh Engine me Top par aapna bhi bahut jyada jaruri hota hai, taki visitors ko aapka blog search me top par mile or wah aapke hi blog ko visit kare. Yeh aapke blog ko popular karne or jyada visitors laane ke liye bahut jyada jaruri hai.. Iss kaam ke liye aapko as a blogger bahut jyada hard work karne ki jarurat hoti hai, tab jakar aapka Blog search me top karega or aap blogging me sucessful honge.

Iss Article me hum issi topic ke baare me janege, ki Blog ko kaise Google Search me top par laaya ja sakta hai, or iske hamare Blog ke liye kya kya fayde ho sakte hain.

To jante hain ki hum kaise apne Blog/Website ko Google Search me top par la sakte hain –

How To Rank Your Blog On Google Search – Hindi Tips 2021

How to rank your blog in google

Blog Templet Mobile-Friendly Ho:-

Aaj – kal sabhi Websites/Blog, chahe wo kisi bhi topic par ho, (Chahe News website ho ya Shopping website) sabhi jyadatar mobile phones par hi use ki jaati hain.

Sabhi Blogs par lagbhag 90% tak visitors Mobile phones se hi aate hain, Isliye Blog ka Templet hamesha wahi use kare jo Mobile-Friendly ho.. Matlab yeh ki Templet aisi ho ki wo mobile phones par aashani se open ho sake.

Agar Website Mobile Friendly hogi, to Search me aane ke better options rahege, or iss se aapke fayde ke chance bahut jyada badh jayege.. Website agar mobile-friendly ho to visitors jyada aate hain or search me top karne ke Chance jyada ho jate hain.

Read – Top 10 Best Free Responsive Blogger Templates 2020 In Hindi

Contents Social Friendly Ho:-

Apni Website par hamesha Social Friendly Contents daalein, Mtlb yeh ki visitors ki pasand ke hisaab se hi contents daalein. Pehle pta kare ki aapki website par kis type ki posts ko sabse jyada pasand kiya ja raha hai, ya pta kare ki visitors ko konse topics par jyada posts ki jarurat hai, usi topics par jyada posts ya contents daalein.

Content jitne jyada Social Friendly hoga, aap or aapki website utni hi fast famous hogi.. Iss se visitors badhege.. Isliye hamesha logon ki ruchi (Interest) ke hisaab se contents daalein.

Read – SEO Friendly Blog Post कैसे लिखें | Geeky Rohit

Acha Topic Select kare:-

Ache content ke sath hi aapko spne contents ka topic bhi acha select karna chaiye.. Keywords ke sath hi aapko apne contents ki equracy par bhi dhyaan dena hoga.

Post ko publish karne se pehle poori post ko dhyaan se padhe or galatiya sudhare.. Acha sa topic select kare. Post ka topic hamesha aisa hona chaiye, jisko logon dwara sabse jyada search kiya jaata ho.. Agar content acha or logon ki jarurat ke hisaab se hoga, to log jyada se jyada sankhya me attract honge.. Isliye contents ke liye aapko jyada se jyada research karna chaiye.

Sabhi new posts me Backlinks use karna post writing ke main parts me se ek mana jaata hai, Lekin apne sabhi new posts me apne previous posts ki link add karna aapki website ki search ranking ke liye bhi bahut jyada jaruri hota hai.

Isliye apni website ke sabhi old or previous posts ki links ko apne new posts ke saath use kare.. Iss se users ko aapki website par apne pasand ke other Related posts select karne me jyada dikkat nhi hogi.

Backlinks use karne se aapki website ki search preference me sudhar hoga, Visitors jyada milege or per visitor site par time bhi badhega.. Iss se aapki website ke search me top karne ke chances badh jaate hain.. Isliye iss important part ko kabhi avoid na kare.

Read – Backlinks क्या है और SEO में Backlinks के फायदे

WebSpeed Par Bhi Dhyaan Dein:-

Agar aapki website open hone me slow hui to wah search me niche ja sakti hai.. Jayadatar users aapki website ko Android Mobile par hi visit karte hain, Isliye website ko hamesha Mobile Friendly hi rakhe, taaki website mobile phones me aashani se open ho sake. Iske liye aapko apni website ki template par jyada dhyaan dena hoga. Dhyaan rahe ki website ki template mobile friendly ho.. Iss se aapki website ki Webspeed badhegi.

Dhyaan rahe ki agar aapki website slow hui to visitors ko issko open karne me dikkat hogi, or agar aisa hua to aapki website search me Niche (Down) ja sakti hai.

Website Par Regular Posts Publish Kare:-

Kisi bhi website (Blog) par regular post karna jaruri hota hai. Agar regular pasts publish nhi kiye to aapki website search me pichad sakti hai. Hamesha logon ki jarurat ki hisaab se regular post publish karte rahe. Agar aap har roz posts publish nhi kar sakte, to kam se kam 2 din me ek post publish jarur kare. aisa karne se visitors aapki website ke saath judey rahege or yeh kabhi bhi search me piche nhi rahegi.

New post jitni jyada ho sake Long or full details ke saath likhe. post jitni jyada long or acchi hogi visitors utne hi jyada prabhavit honge.. Yeh aapki website ko search top par rakhne ke liye important parts me se ek hai.

Blog Ke Google Search List Me Top List Par Aane Ke Fayde :-

  • Agar aapka blog (website) Google search me top list par aata hai, to aapko accha traffic mil sakta hai.
  • Agar aapka blog Alexa se connected hai, to iss se aapko Alexa Rank kam karne me kaafi madad milegi.
  • Agar aap apne blog se paise kamane ke liye AdSense jaise kisi bhi adverse se connect hai, to simple si baat hai ki iss se aapko bahut kuch haasil ho sakta hai.
  • Search me top par aane se aapka blog or aap famous honge, or aapka social connection majboot hoga.

Finally, Ab hum saaf samajh sakte hain ki hamare blog ke search me top list me aane ke hamare liye bahut jyada fayde ho sakte hain, isliye Agar aap chahte hain ki aapka Blog (website) search me kabhi na pichde, to apni website ko regular maintain karte rahe.. Agar aap regular maintain karte rahe, post karte rahe or apni website ko ache se setup karke rakhein to aapki website search me kabhi Down nhi aayegi, or aapko acche visitors milte rahenge.

Bas inhi baton ko dhyaan me rakhkar aap apni website ko search me top ranking me la sakte hain.

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan