Google Analytics क्या है और Analytics Account कैसे बनाएं

post about what is google analytics in hindi
Google Analytics

Blog par google analytics ki importance ke baare me har blogger janta hoga. Kisi bhi blog ya website ke liye google analytics account ka hona bahut jyada jaruri hai.

Professional blogger iss baat ko acchi tarha jante hain, ki analytics account kya hai, or blog ke liye ye kyu important hota hai, lekin jo new bloggers hote hain, wo iske baare me jyada acche se nhi jante hain or isko avoid kar dete hain, or aisa karna blog or bloggers ke blogging carrier ke liye jyada accha nhi hota.

Jyadater new bloggers google analytics ke baare me nhi jante or wo iske baare me acche se jaanne ke liye internet par jankariya khojte hain, isliye agar aap bhi google analytics account ke baare me jankari khoj rahe hain or iske baare me kam jante hain, to aaj hum issi topic par janege.

Aaj iss post mein me aapko poori detail se btauga ki google analytics kya hai, Google Analytics Account kaise banaye, or Google analytics account se hame ya hamare blog ko kya fayde ho sakte hain. Jaane ke liye yeh poori post padhe .!

Google Analytics Kya Hai or Google Analytics Account Kaise Banaye

post about what is google analytics in hindi
Google Analytics

 

Analytics Account kya hai :-

Analytics google ki hi ek service hai. Yeh aapke blog par aane wale visitors ki har tarah ki activities par nazar rakhne me aapki madad karta hai. Analytics aapke blog ki har ek cheez par nazar rakhega or aapko btayega ki aapke blog par visitors kaha se aa rahe hain or kis tarah ki post par jyada aa rahe hain.

Google analytics aapke blog ko manage karne me kaafi madad karta hai, or visitors ki activities par poori nazar razar rakhta hai.

 

Analytics Account Kaise Banaye :-

Analytics account bnana koi jyada mushkil kaam nhi hai. aap kuch hi simple si steps ko poora karke apne blog ke liye google analytics account bna sakte hain.

 

To jante hain ki google analytics account kaise banaye

1) Sabse pehle google.com/analytics par jaye or yaha par apni orginal (Jisse Aapka Blog Ho) gmail ki email id se sign in kare.google analytics screenshot 1

Note :- Agar aapke Paas Gmail account nhi hai, to aap “Create New Account” par click karke apna new gmail account bna sakte hain.

2) Sign in karte hi aapke saamne google analytics account bnane ke liye ek forum open ho jaega.. Jaise iss photo me hai.google analytics screenshot 2

Iss forum me aapko ye fields bharne hain :-

 

  • Aap jiss blog ke liye google analytics account bna rahe hain, uska name pehle box me bharna hoga. Aapke blog ka yeh name analytics par rahega.
  • Second box me apne blog ka name bhare. Jaise aapke blog ka name www.hindibloggerbuzz.com hai, to yaha “HindiBloggerBuzz” bhare.
  • 3rd box me apne blog ka full url (address) bhare.. jaise (http://www.hindibloggerbuzz.com)
  • Apne blog ki industry ya topic select kare.
  • Reporting Time Zone select kare.. Yaha par india select kare.. India ka time zone + 5:30 GMT hai, isliye +5:30 GMT Kolkata select kare.
  • Ab sab kuch bharne ke baad niche box me di gayi sabhi box ko tick kar dein.. Note :- Yeh pehle se hi tick kiya hua ho sakta hai, isliye pehle se tick ki hui hai to rehne dein.
  • sab kuch karne ke baad niche (Down) me likhe hue “Get Tracking Id” par click kar dein.Next ek new box popup open hogo. Ab yaha aapko aapki country puchi jaegi, to yaha par aap india se hain, to india select kare or select karne ke baad niche likhe “I Accept” par click karke google ki sabhi ‘terms & conditions’ ko accept karin.

page khul jaega, jasme aapko aapki Google Analytics Account ki Tracking Id di hui hogi.. Isko aapko apne blog me add karna hoga, Isliye isko copy kar lein.analytics screenshot 3

Now. yeh tracking id aapko apne blog par lagani hai, to chaliye jante hain ki analytics tracking id ko apne blog par kaise lagaye.

 

Google Analytics Account Ko Apne Blog Par Kaise Add Kare :-

  • Sabse pehle apne blogger dashboard par jaye or ”Settings” par click kare.

screenshot 4

 

  • Ab settings open hone ke baad Other par click kare.
  • Other par click karne ke baad sabse niche aapko Google Analytics ka option milega.

Yaha aapko “Analytics Web Property ID” ke aage ek box milega. Iss box me aapne jo analytics tracking ID code copy kiya tha wo paste kar dein or settings ko save kar dein.analytics screenshot 5

Done.

Ab aapka Google analytics account poori tarha se ready ho gaya hai, or aapke blog ke saath jud gaya hai.

 

Blog Ke Liye Google Analytics Account Bnane Ke Fayde :-

 

  • Analytics account aapke blog ke saare traffic ki full detail aapko dega.
  • Aapke blog par daily kitne visitors aate hai, kaha se aate hain or konse device ya browser se aate hain, iske baare me aapko poori jankari google analytics deta hai.
  • Iss se aapko iski poori jankari mikegi, ki visitors ko aapke blog par sabse jyada kya pasand hai, ya visitors aapke blog par aane ke liye kis tarha ke keywords use karte hain. Iske baare me jaanna aapke blog ke liye bahut faydemand ho sakta hai.
  • Google analytics account se aap apne blog ke visitors ki location ka pta kar sakte hain ki visitors konsi jagah ya country se sabse jyada aate hain.
  • Analytics aapke blog par real time activities ke baare me btayega, ki kitne visitors aapke blog par abhi active hain or konsi post padh rahe hain.
  • Yeh aapke blog ki bounce rate ke baare me poori jankari dega. Bounce Rate kitni badhi hai ya kitni kam hui hai iski poori jankari aapko milegi.
  • Visitors ne aapke blog par kitna time spend kiya, konsi post ko kitne time tak padha etc.btata hai.
  • Iske alawa Blog page ka loading time kitna hai ye bhi btata hai.

 

Finally,

agar kaha jaye to google analytics account aapke blog ke liye bahut jyada faydemand bota hai. Yeh aapko aapke blog ki poori jankari aapko deta hai, jo aapko jaanna bahut jaruri hoti hai.

Aise hi bahut saare fayde hain, jo Google Analytics account ko aapke blog ke saath jodne ke ho sakte hain, isliye me aapko yahi advice dunga, ki kisi bhi tarha ka blog ho uske liye analytics account ko use jarur kare.

 

  • Its Your Time,

Yeh post aapko kaisi lagi hame jaroor btaye or kisi bhi tarha ki other help ke liye mujhe comment box me apna question poche. Iss Post ko padhne or hamari website ko visit karne ke liye aapka Dhanyawad.

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan