SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe – Namskar! Blogging me azkal har koi apna bhagya azamana chahta, kyonki blogging ek aisa platform hai, jaha ham apne dimag ke aur apne pure ideas aur vicharon ko vaha pradarshit kar skte h.
Ham apne anusar waha kuch bhi achhi chizon ke bare me likh skte aur logo ki help bhi kar skte h. Waha ham pe koi dabav nahi hota aur ham free hoker likh skte h.
Har kisi ki apni likhne ki aur blogging karne ki style hoti h. Aap ek blog ko kaise likh rahe ye apke topic, apke visitors aur apke goal pe nirbhar karta h.
Example :- agar aap technical blog pe likh rahe h to aap waha logon ko instructions batayenge. aur agar apka blog motivational h to aap waha ko motivation ki tips dete h.
Also Read – ब्लॉगर (Blogspot) पर नयी ब्लॉग पोस्ट कैसे लिखें
to chaliye az mai apko batata hu kaise ek badiya aur attractive blog post likhe!
Acchi Or SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe (How To Write a SEO Friendly Blog Post)
#1. Post ki length {na jyada lambi aur naa hi bahut chhoti}
Sabse pahle post likhte samay yahi dhyan rakhna chahiye ki aap jo post likh rahe wo na to jyada lambi ho aur naa hi bahut chhoti.
Post aisi honi chahiye jo valuable ho aur jisse har insan ko fayda mil ske. Jyada lambi post likhne se bhi wo jyada time consume karti h,isliye visitors us tarah ki post ko padhna pasand nahi krte h.
Mai apko koi jyada ray to nahi dunga lekin mere hisab se aap lagbhag 700-1500 words ki post likhni chahiye. Har bar post likhte samay ap usko kam jyada krke likh skte h.
#2. Badiya aur catchy title banaye
Blog post ka title hi pahli chiz hoti h, jisse reader dekhta aur usko open karta h. Agar blog post ka title akarshak aur badiya hoga to har visitors us post ko padhna pasand karunga.isliye blog post likhte samay sabse pahle ek badiya aur vajanadar title apne dimag me jarur soche.
Special tips:-
Jab bhi aap koi post likhne ki soche ti sabse pahle, us post ke title ke 4-5 prakar ke title taiyar kare aur kahi pe likh le. Jo title apko badiya lage wahi title choose kare.
#3. Apne khud ke anubhav aur baton ko share kare
Agar aap ek post likh rahe h to apne anusar hi us post ko likhe, apne anubhav ke anusar hi likhe jyada kisi ki copy karne ki kosish na kare. apni post me khud ke unique opinion ko share kare. isse visitors ko apnapan mahsush hota h. apne koi anubhav or koi kahani ko app us post me us topic par share kar skte h. apne vicharon ko khule man aur dimag se share kare aur likhe.
Kyonki apko ye samjhana hoga ki ye apka hi blog h aur aap yaha ke malik h. Apko puri khuli chhut h ki aap yaha apne vicharon ko logon ke sath share kare.
#4. Blog post me badiya keywords ka upyog kare
Keywords ka matlab h ki kuch aise sabad jo google search me sabse pahle ate ho.
Blog post likhte samay hamesha hi achhe achhe keyword ko hi mahtav de.
Iske liye aap google keywords planner aur bahut se anay tools ka paryog kar skte h jo apko apne title ke anusar badiya keyword bata skte h. kyonki achhe keyword se hi apke blog ki searching me improvement hoti h.
Example ke liye – agar aap koi technical chiz ke bare me likh rahe h to top keyword ka upyog kare. jaise ki -useful tips, tips and tricks, best blog , how , kaise adi ka upyog kare.
#5. Subheading ka pryog kare
subheading ka matlab h ki main point ke alwa kai anay point bhi hamari post me hote unko -subheading me hi likhe.
Subheading dalne se hamari post achhe se arrange ho jati h aur wo reader ko padhne me bhi achhi lagti h. Har post me separate subheading ka upyog kare . Sath me bullet points ka bhi paryog kare.
#6. Blog post ki pahle sentence ko achhe se likhe
Agar blog post ke pahle line ke sentence achhe honge to visitor usko jarur padhega ,bekar ke ubhay aur boring sentence ko sabse pahle likhne se bacche.kyonki agar hamari shuruat hi bekar lagne lagegi to aisa koi reader nahi jo us kharab post pe apna smay barbad krna chahega.shuruat me thode dhery aur shant man se post likhe .iske liye aap kuch samay le skte aur akele me baithkar soch skte h.
#7. Regular post likhe
Koi bhi blogger nahi chahta ki ek bar visitors uske blog pe ake post padh le aur fir wo usse bhul jaye.in chizon se bachne ke liye hamesha post likhne ki adat dale.regular post likhne se aap apne visitors se jude rahte aur apka blog bhi hamesh search me rahta h.
Tips:- iske liye aap apne blog me Email subscribe widget ka paryog kar skte h. taki apki har nayi post ki jankari apke visitors ko milti rahe.
#8. Visitor ke liye achhi aur valuable post deliver kare
Koi blog ho ya koi anay marketing system ho, wo tabhi chal pata jab ham apne visitors ko achhi jankari provide karvate aur wo jankari uske liye helpful ho. Agar achhi post deliver karnge to visitor hamse jude rahenge aur wo hamari post ka intzar karenge.
#9. Blog post ka preview jarur dekhe
Har blogging platform apko preview ki suvidha deta .to post purn krne ke baad hamesha apni post ka preview jarur dekhe ,jisse apko apni post me koi kami rah gayi ho wo apko apaka me aa jati aur ap usko sudhar skte h. Apne post me kam se kam writing mistake kare.
#Conclusion:-
Duniya bhar me karodo blog bane hue h aur har blogger post likhta h, lekin keval 1% blogger hi new jankari likh pate h. isliye unique blogger banane ke liye nayi nayi chizen likhte rahe aur logo ki help kare.
It’s your turn??
Ye post mene har blogger ki help ke liye likhi h, apko hamari jankari kaisi lagi hame comment ke dwara jarur bataye aur apko koi isse related koi query ho jarur puche. ye post apke liye kaisi rahi jarur bataye aur apne friends ke sath share bhi kare. ThNxx for reading!!?
Some Other Helpful Articles About Blogging – Blogging क्या है और Blogging कैसे करें, 2- Advantages Of Blogging | Blogging करने के 7 फायदे And Top 15 Best Android Blogging Apps Of 2020 In Hindi
Thank you for telling us how to write “SEO friendly article” in blogger Thank you so much