Blogger या Search Console के लिए XML Sitemap कैसे बनायें

blogger ke liye xml sitemap kaise banaye

Hello!! Blogging me sitemap banana bahut zarori hai, kyonki ham jo bhi post apne blog par likhte hai wo bina xml sitemap ke search engine me nahi aa sakti, to apni har posts ko search engine me lane ke liye apne blog ka ek sitemap jarur banana chahiye, jisse hamari har nayi post search me aye aur hamari post top me rahe. aur mehnat bhi bekar na jaye.

Blogger या Search Console के लिए XML Sitemap कैसे बनायें

blogger ke liye xml sitemap kaise banaye

Sitemap kya hai

Sitemap ek XML file hoti h,jisme hamare blog ke sare url us file me hote,aur wo search engine ko ek suvidha janak rasta batata hi jisse hamara blog search me aye. Sitemap waise naam se hi pata chal raha ki ye hamare pure blog ka map hi ,jisse dekh dekh google har bar hamare blog tk pahunchta rahta aur hamara blog search me ata rahta h.

Sitemap banana bhi ek SEO ki series me hi ata ha, to jab bhi naya blog banaye uska sitemap jarur banaye aur search engine me submit kare.

www.mylifemyrule.com

To chaliye az mai apko batata hu ek blog ke liye sitemap kaise banaye :-

Sitemap banane ke liye waise bahut si website uplabdh h jo online sitemap create karti. lekin mai apko ek hi website bataunga, jaha se aap bahut hi simple step me apne blog ke liye sitemap ko create kar skte h, jyada website ko visit karne se bachhe kyunki aap phir confuse ho jaoge aur isse simple website koi aur nahi h, ye maine kafi research ke baad bata raha hu.

XML Sitemap Kaise banaye

Step 1 :- sabse pahle apko (http://ctrlq.org/blogger/) par jana hoga.

Sitemap create karne ke liye yaha click kare:-

Step2 :- website ke open hote hi apke samne kuch aisi screen dikhayi degi
Suvidha ke iye aap ye image dekh skte h.

Diye gaye box me apne blog ka url paste kar de

For example:- http://www.mylifemyrule.com/ Ya https://www.geekyrohit.com

Aur generate sitemap pe click kar de.

Step 3 :- click karte hi apke samne ek dusra page open hoga ,waha apko kuch code milenge, jo ki apke blog ki site map h unko copy kar le.

Code dekhne me aise honge –

User-agent: *

Disallow: /search

Allow: /

Sitemap: http://www.your domain name.com/atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500

Iss sitemap se ham 500 post tak ko hi index karwa skte h, jaisa apne code me dekha h max=500, aap isko kam jyada bhi kar skte h.

Also Read – Blog banane ke bad blog par kya kya kare (step by step guide) -jarur padhe

Ab apne jo code copy kiya usko google search console aur yahoo or Bing search engine me apna sitemap submit kar de.

To in simple se step me apka sitemap bankar taiyar ho gaya ,ab apka blog search me ana shuru ho jayega.

Apko sitemap banane ki jankari kaisi lagi hame bataye aur koi problem aur query ho to jarur puche. Thanx for reading!!

Also Read – Blogger Blog Me Table Of Contents Ya Posts Sitemap Kaise Add Kare

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan