Kisi bhi Youtube channel or youtube video ke famous karne me uske videos ka sabse important sthaan hota hai. Agar youtube videos accha nhi hua or usko visitors ya viewers jyada pasand nhi karege or aapka channel kabhi success nhi hoga.
Aapne hamari previous posts me youtube ke baare kaafi kuch jaana hoga. Aaj hum aapko batayege ki ek perfect youtube video kaise create kare. Best Youtube video create karne ke baare me besic tips ke liye hamari yeh post padhe.
To Chaliye Shuru Karte Hain….
Ek Accha Youtube Video Create Karne Ke Liye Kuch Khash Tips – Create High Traffic Youtube Video
Apne Videos Ke Liye Research Kare
Youtube video banane se pehle video ke baare me full research karna bahut jaroori hota hai. Fix kare ki aapko apna Video kaise create karna hai or aapko apne video me logon ko kya kya dikhana hai.
Video bnane se pehle apne video ki ek script banaye, acchi practice kare, Video ke baare me poori traha research kare. Agar ho sake to jis topic par aap video create karne wale hain, uss topic ke kisi expert se thoda bahut discuss jaroor kare or jab aapko aapke video ke topic ke baare me poori tarha se pta ho jaaye, tabhi video create karna start kare.
Acchi Quality (HD) Camera Ka Use Kare
Youtube video ke liye videos quality ka bahut important sthaan hota hai. Agar aapke video record karne waale camera ki quality acchi nhi hui, to aap kabhi bhi ek Accha video record and create nhi kar payege.
Kuch Youtuber’s youtube videos create karne ke liye mobile phone camera ko hi use me lete hain. Agar aap bhi aisa karte hain, to me aapko bta du ki mobile se youtube videos create karna possible hai, lekin mobile camera ki quality badiya honi chahiye. Agar mobile camera quality acchi hui to aap mobile phone se bhi acche acche youtube videos ekdum easily create kar sakte ho, lekin wah recording ke time back nhi rehna chaiye kyuki jyadatar mobiles me video record karne par videos or sounds ke bich difference reh sakta hai.
Ek Accha Youtube video create karne ke liye me aapko ek hd camera use me lene ki advice deta hu. Aapko market me law price me bahut se acche videos recorder camera’s mil jaege., Lekin Iske liye aapko 200 $ – 250 $ tak kharch karne padege. Agar mobile phones ki baat ki jaaye to kuch aise phones bhi hain, jinki camera quality better aati hai, or aap unse apna youtube video create kar sakte ho. Aise mobiles ka example LG G4 smartphone ko kaha ja sakta hai.
High Quality Audio Hai Jaroori
Jaise Video record karne ke liye high quality camera ki jaroorat hoti hai, waise hi Video me high quality audio ka bhi bahut important sthaan hota hai. Video ki audio quality jitni jyada better hogi, viewers aapke video ko utna hi jyada pasand karege.
Kai baar aapko videos long distance se create karne ki jarurat pad jaati hai, aise me aapke saamne dikkat video ki audio quality ki aati hai. Jyada door se record karne par aapke video me aapki voice clear record nhi hoti hai.
Isliye aisi problems ke solution ke liye aapko high quality microphones ko use me lena chaiye. Microphones ki madad se aap apne video ke liye audio ko ekdum better record kar sakte ho. Microphones ke liye aapke kuch paise kharch karne padege. Aapko Market me 100 $ se 200$ tak acche microphones mil sakte hain, jinse aap apne voice ko ekdum paas se or full hd me record kar sakte hain.
Iske liye Aapke paas ‘The Rode VideoMic‘ sabse best option hai.
Full Light Me Video Record Kare
Youtube video record karne ke liye ek best quality camera ke saath saath aapko ek perfect video record location/palace ki bhi jarurat hoti hai. Apna youtube video create karne se pehle hamesha ek acchi light waali location select kare.
Apna Video record karne ke liye aap koi close room select kare, jisme full lights ho. Iske alawa ek baat ka hamesha dhyaan rakhe ki video record karte waqt camera ke saamne koi bhi light na ho. Agar aisa hua to video kabhi bhi accha record nhi ho paega. Isliye aap video record karne waale camera ko aisi jagah set kare, jaha par camera ke back side par lights ho, front par nhi.
Agar aap open palace videos record karte ho, tab bhi lighting ka khash dhyaan rakhe.
Video Ko Jyada Long Na rakhe
Youtube Video ko record karte time video ke runtime ka bhi khash dhyaan rakhe. Youtube video ka jyada long create na karke short video create karne par focus kare. Jyada long video ko viewers poora nhi dekhte hain or aapka video boring lagne lagta hai. Agar video short hua to viewers usko jyada pasand karege or video ko poora dekhege.
Jaha tak video ke runtime ka sawal hai, to jahan tak possible ho sake video ko 3 to 7 minutes ka hi create kare. Iss se jyada ka video agar hua to viewers ko jyada pasand nahi aaega. Iske alawa aap 3 minutes se kam ka bhi video create na kare.
WordPress ओर Blogger में Youtube Subscribe Button कैसे लगाएं
Add Background Sounds, Logo and Thumbnails
Video me normal background sounds bhi add kare. Background sounds se video or jyada better bann jaata hai or usko visitors pasand karege.
Iske alawa video ki starting me apne youtube channel ka official logo and images bhi use kare. Jis jagah par aapko video me Thumbnails or screenshot etc add karne ki jarurat ho, to jaroor add kare or video ke empty space ko fill kare.
Edit Your Video
Video ko poori tarha se record karne ke baad usko acchi tarha se edit kare. Video create karne ke baad video ko full watch kare or phir fix kare ki aapko apne video me kya rakhna hai or kya nhi, uske baad apne video ko edit kare.
Video editing ke liye acche software ka use kare. Adobe Premier, Sony Vegas, and Camtasia Studio etc. Aapke liye best video editing software hain.Adar aap smartphone se video bnate or edit karte hain to video editing ke liye Kinemaster Pro sabse best hai.
Finally…
Aapko hamari yeh post kaisi lagi hame jarur btaye or isko apne friends ke saath share kare. Youtube se related aisi hi other latest posts, tips and updates ke liye hamari website Technical Guruji ko follow kare. Thanks for read this article and visit Technical Guruji.
Other Helpful Posts For You – YouTube Channel ka Watch Time Or Views Kaise Check Kare
Android Mobile से फ्री Youtube Intro Video कैसे बनाएं
DSLR Camera Vs Action Camera Comparison – Which is Best For Youtube
Wow nice news || good vaii
nice information at your blog sir