Facebook से पैसे कैसे कमाएं (7 बेस्ट तरीके)

facebook se paise kaise kamaye hindi

Facebook Se Paise Kaise KamayeFacebook duniya ka sabse jyada use kiya jane wala social media platform hai.. Alag Alag peoples ke sath judne (connect) hone ka yeh ek sabse best option hai.. Poore world me jo log facebook ke user hain, wo log facebook par bahut jyada time bitate hain.. jyadatar log to yaha any time active rehte hain..

Har koi, jo internet or social media ke baare me janta hai, wo Facebook ka use jarur karta hai. Aap bhi karte honge. Agar aap bhi facebook ko use karte hain or iske baare me saari jaruri jankari rakhte hain, to yeh aapke liye ek bessiness promotion platform ho sakta hai or aapke liye paise kamane ka jariya bhi ban sakta hai..

Yes….! Agar aap bhi facebook ke user hain, or iss par bahut jyada time bitate hain to aap iske jariye paise bhi kama sakte hain.. Lekin facebook se paise kamane ke liye aapko ise as a promotion platform use karna ho..

Yeh kaam thoda hard jarur hai, kyuki Direct facebook aapko aisa koi option ya feature nahi deta, jiss se aap paise kama sako, isliye aap kuch alag or thoda hard work karke yaha se paise kamane kivr kosis kar sakte hain..

Also Read – Internet se online paise kamane ke 7 sabse best tarike

Iss post meie me aapko kuch aise tarike btata hu, jinse aap facebook se bhi paise kama sakte ho.. Yeh janne ke liye puri post padhe..

Facebook Se Paise Kaise Kamaye – How To Earn Money On Facebook In Hindi

facebook se paise kaise kamaye hindi

Apne products ka promotion kare :-

Agar aap apna kisi bhi type ka product bnate hain, ya aapke pass koi product available hai, or aap usko sell karke paise kamana chahte hain, to facebook isme aapki help kar sakta hai.. Apne kisi bhi type ke product ki marketing or promoteing ke liye Facebook ka sahara lein.

Iske liye aap apna ek alag facebook shop page banaye, or uske followers badhakar apne product ko promote kare. page par apne product ki photo, price,address or quality etc.lagakar uska promotion kare..

Iss tarha agar aapke Facebook page ke through aapka koi bhi product sell hota hai to isme aapki madad hogi..

Apni EBooks ko Facebook ke through sell kare

Agar aapme likhne (Writing) ka acha gyaan hai or kisi ek topic ya language par achi pakad hai, to aap Epub format me apni ek eBook bna sakte hain or isko facebook ke through sell karke ache paise kama sakte hain.

Iske liye aap apni ek achi si eBook teyaar kare or uska prices fix karke facebook par usko sell karne ke liye lagaye.. Uss ebook ko apne friends, groups or pages me promote kare.. Ab agar aapki lagayi hui ebook ko koi lena ya kharidna chahe, to apko uski income hogi. Facebook iss kaam ke liye ek acha option hai.

Apni photos ko sell karke paise kamaye

Photos ko sell karke paise kamana ek acha option hota hai.. agar aapko achi photos lene ka tarika aata hai ya aap achi photo lete ho to aap apni li hui photos ko sell karke ache paise kama sakte ho..

Iske liye aapko pehle ShutterStock jaisi website ki madad leni padegi.. ShutterStock website aapko aapki photos ke paise deti hai, isliye aap yaha par apna account bnaye or apni li hui photos ka price fix karke sell ke liye lagaye..

Ab aap apni lagayi hui photos ya apne account ko facebook par promote kar sakte hain.. agar iski wajah se aapki photos sell hui to shutterstock aapko aapki photos ke paise dega.. Iss kaam me aap facebook ki madad le sakte hain.

Apne video ka promotion karke paise kamaye

Agar aap ache or apne video khud ke video bnate ho to aap facebook ki madad se apne bnaye hue video se acche paise kama sakte ho..

Iske liye aap youtube par apna channel bnaye, uspar apna bnaya hua video upload kare or uski marketing facebook se kare.. Facebook groups, pages etc par apne video ko promote kare. Iss se aapke video ko jyada view milege, or aapki kamayi hogi.. yeh bhi ek accha option ho sakta hai.

Apna khud ka facebook page banaye or sell kare

Aap facebook page banakar bhi apne page se acche paise kama sakte ho.. yeh kaam thoda hard to hai, lekin aapke liye best saabit ho sakta hai.

Iske liye aap apna ek khud ka facebook page banaye or uske likes badhaye.. Iss kaam ke liye aapke page ke likes jyada hone chaiye.. Agar aaoke page ke likes hazaaron ya 1 lakh ya iss se bhi jyada hain, to aap apne page ko online sell kar sakte ho.

Aisi bahut si websites ya company hain, jo apni marketing ke liye facebook ka sahara leti hain, or iske liye unko acche likes wale pages ki jarurat hoti hai. Isliye aap aisi websites/ company ko apna page sell kar sakte hain or uske unse paise kama sakte hain.. Bas iske liye aapke page ke likes/followers jyada hone chaiye.

Kisi company ki marketing kare ya affiliate bane

Kisi bhi badi company ke sath jud kar uski marketing, advertising ya affiliate bankar bhi aap acche paise kama sakte hain or iske liye aap facebook jaise big social network circle ka sahara le sakte hain.

Iske liye market me bahut si company’s hain, jo aapko apne product ki advertising karne ke liye aapke sath jud sakti hain.. Aisi company me “Flipkart” or “Amazon” jaisi badi companies hain, jo apne product ki advertising ke badle aapko paise deti hain.

Isliye aap inke products ki apne facebook pages, or group’s par advertising kare.. Agar aapki sifarish par koi bhi product bika (sell hua), to Amazon or other network aapko uske paise degi.. yeh bhi ek best tarika hai.

Apni websites ko facebook par promote kare

Agar aapki koi website hai or aapne usko AdSense account ke sath jod rakha hai, to aap apni website ke posts ko Facebook par promote kare.. aisa karne se bhi aap paise kama sakte hain..

Aisa karne se aapki websites ko facebook se new visitors milege or unn visitors me se agar koi aapke lagaye ads par click karega, to aapko uske paise milte hain.. Iss se aapki website ka promotion bhi hoga, or aaoko Google AdSense se kamayi bhi hogi.. Yeh bhi ek best option me se ek hai.

:- Iss tarha kuch short trick se aap facebook se bhi acche paise kama sakte hain. Jaisa ki maine kaha tha ki facebook aapko directly paise kamane ke koi option nhi deta, isliye aap aise third party tariko ko try karke facebook se aashani se paise kama sakte ho. Also Read – Newsdog WeMedia Kya Hai Or Newsdog Se Paise Kaise Kamaye

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan