PNB Net Banking या PNB Internet Banking कैसे शुरू करें

pnb net banking

Aaj ka jamana internet ka jamana hai or har koi online kaam karna pasnd karta hai. Aaj kal lagbhag sabhi kaam internet se hone laga hai. Yaha tak Bank ka len-den bhi.. Internet banking se hum ghar baithe bil jama karna, money transfer,sabhi type ke recharge kar sakte hain.

Pichli Post Me Maine Aapko SBI Net Banking Ke Baare Me Bhi Bataya Tha. Uske Baare me Yaha se Jaane – SBI Net Banking या SBI Internet Banking कैसे शुरू करें

To ham keh sakte hain ki net banking aaj bahut jaruri ho gaya hai. To chaliye aaj hum PNB Net banking ke bare me jante hain. Janne ke liye mujhe niche step wise follow kare..

PNB Net Banking Kaise Start Kare | How To Start PNB Internet Banking

pnb net banking

Step 1 :-
Sabse pehle apne internet browser me https://www.netpnb.com open kare.

Step 2 :-
Agle page me Retail User or Corporate User likha milega, unme se Retail User Par click kare.

Step 3 :-
Agle page me sabse Last me New User? Aaega, uspar Click kare.

Step 4 :-
Ab agle page me apna PNB Account number or Type of Facility bhar kar verify par click kare.

Step 5 :-
Agle page me aapko Debit Card Number or ATM password type karna hai.

Step 6 :-
Type karte hi aapke Registered mobile number pe ek one time password aaega usye verify kare.

Step 7 :-
Ab ek new page khulega , usme apka user id diya jaega. uske niche new password me apna password select kare or ek bar apne password confirm kare. Aage Terms and Condition box me Right tick kare.

Step 8 :-
Sab sahi bharne ke bad complete Registration pe Click kare. Ab aapka PNB Net Banking start ho gaya hai.

Step 9 :-
Login karne ke wapis Home Page par jaye or Retail user par click karke apna user-id type kare or aage apna password type kar ke log in kar le.

Note :- Password 5 bar se jyada galat type kiya to aapka Bank Account Band kar diya jaega.

Dosto , mujhe ummeed h ki aapko mera ye post jarur pasand aaya hoga. Apne sujhaav hame comment me jarur de, or hmari website ko share karke hamari help jarur kare. Thanx

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan