Free Blog Kaise Banaye or Blogging Ki Shuruaat Kaise Kare (step by stepguide)

Hello Readers…! Blogging ke bare me to aap sabhi jante hi honge.. Blogging ek aisa jariya hai, jisse hum apni baton ko duniya ke samne rakh sakte hain.. Hum apni pasand ka, apni pasand ke topic par blog/website bnakar or uss par apni pasand ke kuch topics par post likhkar apne blogging ki starting kar sakte hain.

Lekin, New persons, jo apne blog or blogging career ki starting karna chahte hain, unke liye yeh ek Hard Work hota hai, kyuki unko iski puri tarha se jankari nahi hoti hai, ki aakhir blog or blogging kya hai or iski Shuruaat kaise karte hain…

blogging kya hai blog kaise banaye blogger se

Isliye., Aaj ki meri yeh post unn sabhi new bloggers ke liye hai, jo apna new blog bnakar apni blogging ki shuraat karna chahte hain.. Iss post me main aapko Blogging ke bare me Detail se btauga , ki blog kya hai or blog kaise bnaye.. Isliye detail se janne ke liye iss puri post ko dhyaan se padhe.

To Chaliye Jante hain blogging ke bare me Detail se…\

Kya Hai Blog/Blogging :➡

Blog ek aisa option hota hai, jaha se hum apna khud ka blog bana sakte hain.. Doosre words me kaha jaye to yeh ek type ki website hi hoti hai, jisko hum free me bana sakte hai.

Blog ko Design karna, Mantain karna or Uss par New post publish karte rehna hi blogging hai or yeh sab karne wala Blogger kehlata hai.. Iss se hum jis topic par jyada jante hain, or logon ko btana chahte hai, usko public tak pahucha sakte hain, or logon ki help kar sakte hain.

Blog Bnana hota hai Ekdum Free –

Blog bnana ekdum free hota hai. Lekin aap blog/website ko paiso me bhi bana sakte hai.. Free Blog bnane me aapko apne pasand ka Domain name nahi milta hai, or payed blog bnane ke liye aapko kuch paise lagane padte hain or aap apni pasand ka blog Domain Name le sakte hain..

Lekin, agar aap ek new blogger hain, or blogging ke bare me jyada kuch nahi jante to aapke liye ek baar free blog hi bnaiye.. Free blog bnane ke liye sabse best plateform Blogger Or WordPress hai.. Yaha par aap apna free blog bna sakte hain.

Kya Kya Chaiye Apna Blog Banane Ke Liye :➡

Agar aap New blogger hain, or apne liye ek free blog banana chahte hain, to aapko jyada kuch jarurat nahi hai.

Iske liye aapko :-

  • Ek Khud ki Email ID – Email id agar Gmail se banayi hui ho to jyada acha rahega..
  • Ek Compute/Leptop.. aap yeh smartphone se bhi kar sakte ho.
  • Acha khasa Internet ka Knowlegde…

Lekin iske liye Sabse jyada importent Email ID hi hoti hai… Isliye Agar aapki email id nahi h to Apni Ek @gmail.com Ki Email id bna lein.

Blog banane ke kuch fayde :➡

Agar aap apne liye ek Blog Bna rahe hain, to aapke liye iske bahut saare Positive fayde ho sakte hai.. Inn Fayde me kuch Main Fayde Yeh hain :-

  • Blog Bnakar aap jiss subject ke baare me jyada jante ho, usko logon tak share kar sakte ho.
  • Blog par aap apni pasand ke topic par likhkar logon ki help kar sakte ho.
  • Blog se aap ek ache blogger bankar logon me apni ek alag pehchaan bna sakte ho or apne aap ko famaus kar sakte ho.
  • Blog Bna kar or apne blog ko famous karke aap apne liye Paise Bhi Kma Sakte Ho..

Konsa Blogging Platform Rahega Best :➡

Free me blog bnane ke liye aapke pass 2 sabse Best Platform hain-

  • Blogger
  • WordPress – WordPress Free or Payed dono hai..

Lekin,

agar aap ek new blogger hain or blogging ke bare me jyada kuch nahi jante, to aap apna Blog Blogger se hi bnaye, Kyuki WordPress use karne me hard hai, isliye new blogger ke liye yeh hard ho sakta hai, or jaldi se samajh me nahi aayega.. Lekin Blogger Puri tarha se Free or use karne me ekdum easy platform hai.. isliye new bloggers ke liye Blogger Platform hi best rahega…

Kaise Banaye Apna Free Blog :➡

www.mylifemyrule.com

Yaha me aapko Blogger Platform se blog bnane ko bta raha hu, isliye aapko sabse pehle www.blogger.com par jana hoga..

:- Yeh page open hone par aapko Login karne ko kaha jaega, Isliye yaha par aapko apni Email Id or password laga kar Login karna hoga..

:- Iske baad jo agla page open hoga, usme Ek New Blog likha hua hoga, uss par click kare..

:- Ab jo agla page open hoga, usme aapko apne Blog ka Title or URL type karna hai…

For Example :- Title – MylifeMyrule, & URL – Mylifemyrule..

Note :- Blog ka Title or URL apni pasand ka rakhe.. Wahi jis se related aap blog bnana chahte ho..

Ab agar aapka type kiya gaya URL Available hai, to name aa jaega.. Agar Available nahi hota hai, to koi or alag alag URL type karke try kare..

:- Aapki Pasand ka URL available hote hi, apne blog ke liye Template Select Kare,or Down me Create Blog par click kare..

Ab aapka blog ekdum se bankar tayaar hai.. ab aap isme new post par click karke apne blogging ke career ki shuruaat kar sakte hai..

:- Lekin, sirf blog bnane se aapka kaam pura nahi hota.. blog bnane ke baad bhi aapko bahut kuch karna padta hai.. Isliye me apne agli post me aapko btauga ki Blog bnane ke baad kya kya karna hota hai.. isliye hamari website ko follow karte rahe.

➡ Iss Post se Related agar aapko koi Quetion ho to aap mujhe Comment me puch sakte hain.. Aapko yeh post kaisi lagi mujhe jarur btaye.

Rohit Maan
Hollo Readers, I'm Rohit Maan And I'm founder CEO Of This Website. I'm A Professional Blogger, Digital Marketing Specialist, And Web Developer. I'm From Churu, Rajasthan